Friday, October 3, 2008

Nashik Trip - Day 1

Prasthanam...

Zindagi me kai baar un baton par bhi vishwas aur aastha rakhni padti hai jinpar hume bulkul bhi vishwas na ho…ye hum sirf apne kisi chaahane walon ke khatir karte hai…aise hi ek kaam ke liye hume Tryambakeshwar jana tha…yog tha Kalsarp pooja karane ka…

17th July’08

Mummy ne thik subah sava paach baje jagaya…sab log ready huye…taiyaariyan to ho chuki thi…Jinmataji ke darshan karke hum log thik sadhje saat baje humari apni silky silver colour ki Maruti Omni jo humne issi GudhiPadve ke shubh muhurt pe kharidi thi me sawar huye…Mai, Nikhil, Mummy, Sunil Chacha, Vandana Chachi, Shubh, Minal aur Rambhau(hamara driver)…

Malegaon se Mehkar tak ke safar jo ki sirf 45km ka hai…me Karunamayi Maa Jinmataji ka mangal path kiya…ghar se sirf dudh-chay lekar nikale the hum log…to mehkar me thoda snaks lene ke liye gaadi roki gayi…garma garam samose, moong vade aur pakodi ka maja liya gaya…

Mehkar se prasthan kiye…ab hume intezar Aurangabad ka tha…waha par Chachi ke badi bahan ka ghar hai…waha humare lunch ka intezam kiya hua tha…Mehkar se Aurangabad ke bich me Deolgaon Raja bhi padta hai…lekin humlog via Nhava nikle…haan lekin Deolgaon Raja ko yaad kar kar ke Nikhil ko bahut chidhaya…are bhai…uski ek classmate jo waha rahti hai…

Nhava ke pass Ganesh ji ka ek khoobsurat mandir hai…Malacha Ganpati…Bappa ke darshan liye…humare dharmik paryatan ka sahi mayno me ShriGanesha ho gaya…mere digicam Nikon Coolpix L5 se photography ki shuruwat ki…








Thik sadhe barah baje Aurangabad pahuche…mausiji ke ghar ka delicious khana hum logon ka intezar kar raha tha…lunch hua…thodi se gapshap huyi…jyada samay to tha nahi…hume Nashik jo pahuchna tha…sabse vida li…aur chal diye Nashik ki or…

Vaijapur..Yeola…Nifad hote huye hum log pahuche KumbhNagari Nashik…are haan…ek baat to batan bhul hi gaya…Nifad me ek Traffic police se humari Omni ka nain-m-takka ho gaya…sahab ne siti bajai…aur Omni ko rukna pada…driver sahab ne jaruri papers sahabji ko bataye…sahab ne hum jaane diya…

Nashik pahuchte hi…maine Chhote Nanaji ko call kiya…wo Nashik pahuchne me hi the…ve log Shirdi se by bus aa rahe the…hum bus stop pahuche…wo log humara intezar kar rahe the…

Nanaji, naniji, Trupti mausi, Mukta mausi aur Anmol…ye bhi humari tarah Kalsarp pooja ke liye hi aaye the…ek auto thahra ya…ek Omni aur ek auto me sawar hokar hum log Nashik darshan ke liye chal diye…

Ye meri 4th Nashik trip thi…ek baar school trip me…ek baar dosto ke saath tour me…ek baar mini invertors kharidne Sunil chacha ke saath mai pahle bhi aa chukka tha…

Mukti dhaam ke darshan liye…panchwati me…KalaRam Mandir…Sita Gufa…Kutiya ke darshan kiye…bus stop pe pahuche…auto ko chhoda…hum log Omni se aur Nanaji log by bus Tryambakeshwar ke liye rawana huye…

10 baj chuke the…Tryambak pahuchte hi humne 4-3 seater rooms book ki Shri Gajanan Maharaj Sansthan ke bhakt niwas me…fresh hokar…sansthan me hi Khichdi Kadhi khakar apni bhuk ko thanda kiya…sansthan me ratri 10 ke baad pahuchne wale logo ko Khichdi-Kadhi vina mulya di jati hai…



Good night…ab hum so rahe hai….

Mangal

Kuldevi Maa JeenBhavani ka aadesh hua...aur humne Mataji ke mangal ka aayojan kiya...Mataji ke sampoorna jeevan charitra ko mangal kaha jaata hai...

Prastut hai...Mangal aayojan ki kuch jhalkiyaan....

Jin-Jin bhaj barambara...
Har sankat ka ho nistara...


Mataji Ka Darbar

Mataji ka Mangal Kaksh me aagman

Dhanya ghadi dhanya bhaag ha mhara...
Mataji mhara ghara padharya...
Karo Suwagat Maiyya ko...


Mataji ka Janmotsav
Hua hua re janam hua Maiyya ka...



Jin bhawani ne parava chunadi maa Jin bhawani ne...

Ho Mehandi mand dyu bhawani dono hatha me thara...

Iss Mangal ke dauran...Mataji ka Janmotsav, Mehandi Utsav, Chunari Utsav evum Chhappan Bhog manaya gaya tha....

holi celebrations

coming shortly...

last day at CTS












coming soon...