Thursday, January 15, 2009

Nashik Trip - Day 2

Shiv ke Dware

18th July…

Pooja ka mahurat aaj ka hi tha…subah jaldi jaage sab log…ready huye…aur pahuche Shri Swami Samarth Trust ke Shri Ganapati Devidas Shikhre ke ghar…waha se hume pooja ki sthaan pe le jaya gaya…

Ek vishal aashram…bade bade hall…har hall me 40-50 logon ki pooja ki arrangement…logon ko bhasha ke anusar alag alag hall me baithaya gaya…jaise Hindi samajhne wale alag hall me…Marathi samajhne wale alag hall me…management jabardast tha….har aadmi ke liye puri pooja ka samagri uski jagah pe rakhi thi…ek aadmi ke liye 4 chaurango ka istemaal karke pooja sajayi gayi thi…sochiye…kariban 500 logon ki pooja ek saath honi thi…to utne hi logon ke liye samagri maujud thi…management dekh ke to mai khud hairan ho gaya…unke management pe to IIM ke students ek case study bhi kar sakte the…

Pooja karib 3 ghante chali…pooja ke pashchat prasad leke hum log bhakt niwas pahuche…dress change kiye…ab Shiv charano me jana tha…mandir me bahut bhid thi…dedh ghante tak katar me lagna pada…Shiv charano me maththa teka…

Shiv Shankar ko jinsne pooja uska hi uddhar hua...



Haan…ek majedar baat…queue me barricades lage huye the…Sunil chacha ne shart lagayi…ke barricade ke 2 pipe ke bich se Amol nahi nikal paega…undino mai kuch jyada mota nahi tha…so…mai shart jeet gaya….

Bhakt niwas pahuche…packing ki…ab Nashik ki or badhna tha…Nashik se Nanaji log Akola ke liye nikalne wale the…

Hum log Nashik pahuche…sidhe MagicPower ke office pahuche…kuch 3 batteries replacement ke liye deni thi…wo kaam humne sabse pahle kiye….aapko bata du…ke MagicPower ka 3 CFL chalne wala MiniInvertor hum bechte the…uski kharidi ke liye mai aur Sunil Chacha kuch dino pahle Nashik bhi aaye the…

Maine Nashik ke bare me internet pe search kiya tha…Someshwar ke kuch snaps mujhe lubhavne lage the…so hum log chal diye Someshwar ki or…

Someshwar pe ek picnic spot develop kiya hua hai…Someshwar Shivji ka ek naam hai…iss jagah par Shivji ka mandir bhi hai…bachchon ke liye jhule…games wagairah yaha maujud hai…Someshwar Godavari ke tat pe hai…yaha boating bhi ki ja sakti hai…humne boating ka luft uthaya….

Someshwar ke thik pichchhe…Balaji ka vishal evum sundar mandir bhi banaya gaya hai…Godavari ka paani jab patharon se takraata hai to paani ka phes safed rang le leta hai…isliye iss jagah ko dugdhsagar bhi kahte hai…



Balaji hume bhi de do Chhappar phad ke...

Someshwar city se bahut dur hai…isliye love birds bhi kaafi dekhne milte hai yaha…ye sab dekhke Pune ki Khadakwasla ki yaadein taro taza ho gayi…

Nashik darshan to hum log Tryambak jaane se pahle bhi kar chuke the…ab to bas Saptashringi ki raah pe nikalna tha…

Saptashringi ke raste pe the hum log…andhera ho chukka tha…samay kaatne ke liye hum log antakshari khelne lage…hum jo namkin gharse le ke nikale the wo humare saath de rahe the…

Saptashringi ka ghaat shuru hone se pahle ek gaav aaya…waha hum log paani liye…thand badh rahi thi…jaise hum log ghati chadhne lage…dhui badhne lagi…aage ka rasta bhi dikhna namumkin tha…maja bhi aa raha tha…aur thoda darr bhi lag raha tha…raat ke samay pahadi se niche ke gaav ka drushya bada hi manohari lag raha tha…

Saptashringi Gad pe pahuche hum log…ek room dhoondha…thand bahut thi…ek restaurent me dinner liya…aur room me aakar so gaya…

Subah Mataji ke darshan karne hai…