Tuesday, August 31, 2010

Marriage2

Marriage1

Enganement

Friday, February 13, 2009

Atharv Hills

Presenting some of my Snaps at Atharv Hills...a location near Patur...we visited this place on Friendship day this year......







Nashik Trip - Day 3

Chalo bulawa aaya hai...Mata ne bulaya hai...

Pratah jaldi taiyyar ho hum log nikal pade Mataji Saptshringi ke darshan ke liye...thand bahut thi...dhui ke kaaran pass ka bhi dikhai nahi pad raha tha...Jai Mata Di ka jaykarha lagate huye hum log ek-ek paayari chadh rahe the...mausam thanda hone ki vajah 500 paayri chadhne pe bhi thakan mahsus nahi mahsus hui....



Mataji ke darshan huye...bhid kam hone ki vajah se bahut hi achchhe se darshan mile...mann ko badi shanti mili...

Saptashringi Mataji se aagya le...hum log nikal pade Shirdi ki or...

Raste me ghati ka rasta subah ke mausam me bada hi lubhavna pratit ho raha tha...thodasa photo session karne ki ichchha ko hum daba na paye....

Me and Minal in Titanic Pose...


Ghati ki sundarta badhhata hua Jharna...

Shirdi pahuch kar sabse pahle humne pet pooja ki...Hotel Mathura me...ye mera third time tha Hotel Mathura visit karne ka...vaha ka ambience aur taste mujhe bahut pasand thi...

Shirdi me bahut bhid thi...line me lag kar darshan karne the...pure 1:30 ghanto baad darshan mile...darshan karne ka baad humko phataphat nikalna tha...

Aurangabad aakar humne chaat...paav bhaji...ka swad liya...ab to bas intezaar tha Malegaon ka...phir vahi dincharya humara intezar kar rahi thi...

Thursday, January 15, 2009

Nashik Trip - Day 2

Shiv ke Dware

18th July…

Pooja ka mahurat aaj ka hi tha…subah jaldi jaage sab log…ready huye…aur pahuche Shri Swami Samarth Trust ke Shri Ganapati Devidas Shikhre ke ghar…waha se hume pooja ki sthaan pe le jaya gaya…

Ek vishal aashram…bade bade hall…har hall me 40-50 logon ki pooja ki arrangement…logon ko bhasha ke anusar alag alag hall me baithaya gaya…jaise Hindi samajhne wale alag hall me…Marathi samajhne wale alag hall me…management jabardast tha….har aadmi ke liye puri pooja ka samagri uski jagah pe rakhi thi…ek aadmi ke liye 4 chaurango ka istemaal karke pooja sajayi gayi thi…sochiye…kariban 500 logon ki pooja ek saath honi thi…to utne hi logon ke liye samagri maujud thi…management dekh ke to mai khud hairan ho gaya…unke management pe to IIM ke students ek case study bhi kar sakte the…

Pooja karib 3 ghante chali…pooja ke pashchat prasad leke hum log bhakt niwas pahuche…dress change kiye…ab Shiv charano me jana tha…mandir me bahut bhid thi…dedh ghante tak katar me lagna pada…Shiv charano me maththa teka…

Shiv Shankar ko jinsne pooja uska hi uddhar hua...



Haan…ek majedar baat…queue me barricades lage huye the…Sunil chacha ne shart lagayi…ke barricade ke 2 pipe ke bich se Amol nahi nikal paega…undino mai kuch jyada mota nahi tha…so…mai shart jeet gaya….

Bhakt niwas pahuche…packing ki…ab Nashik ki or badhna tha…Nashik se Nanaji log Akola ke liye nikalne wale the…

Hum log Nashik pahuche…sidhe MagicPower ke office pahuche…kuch 3 batteries replacement ke liye deni thi…wo kaam humne sabse pahle kiye….aapko bata du…ke MagicPower ka 3 CFL chalne wala MiniInvertor hum bechte the…uski kharidi ke liye mai aur Sunil Chacha kuch dino pahle Nashik bhi aaye the…

Maine Nashik ke bare me internet pe search kiya tha…Someshwar ke kuch snaps mujhe lubhavne lage the…so hum log chal diye Someshwar ki or…

Someshwar pe ek picnic spot develop kiya hua hai…Someshwar Shivji ka ek naam hai…iss jagah par Shivji ka mandir bhi hai…bachchon ke liye jhule…games wagairah yaha maujud hai…Someshwar Godavari ke tat pe hai…yaha boating bhi ki ja sakti hai…humne boating ka luft uthaya….

Someshwar ke thik pichchhe…Balaji ka vishal evum sundar mandir bhi banaya gaya hai…Godavari ka paani jab patharon se takraata hai to paani ka phes safed rang le leta hai…isliye iss jagah ko dugdhsagar bhi kahte hai…



Balaji hume bhi de do Chhappar phad ke...

Someshwar city se bahut dur hai…isliye love birds bhi kaafi dekhne milte hai yaha…ye sab dekhke Pune ki Khadakwasla ki yaadein taro taza ho gayi…

Nashik darshan to hum log Tryambak jaane se pahle bhi kar chuke the…ab to bas Saptashringi ki raah pe nikalna tha…

Saptashringi ke raste pe the hum log…andhera ho chukka tha…samay kaatne ke liye hum log antakshari khelne lage…hum jo namkin gharse le ke nikale the wo humare saath de rahe the…

Saptashringi ka ghaat shuru hone se pahle ek gaav aaya…waha hum log paani liye…thand badh rahi thi…jaise hum log ghati chadhne lage…dhui badhne lagi…aage ka rasta bhi dikhna namumkin tha…maja bhi aa raha tha…aur thoda darr bhi lag raha tha…raat ke samay pahadi se niche ke gaav ka drushya bada hi manohari lag raha tha…

Saptashringi Gad pe pahuche hum log…ek room dhoondha…thand bahut thi…ek restaurent me dinner liya…aur room me aakar so gaya…

Subah Mataji ke darshan karne hai…

Friday, October 3, 2008

Nashik Trip - Day 1

Prasthanam...

Zindagi me kai baar un baton par bhi vishwas aur aastha rakhni padti hai jinpar hume bulkul bhi vishwas na ho…ye hum sirf apne kisi chaahane walon ke khatir karte hai…aise hi ek kaam ke liye hume Tryambakeshwar jana tha…yog tha Kalsarp pooja karane ka…

17th July’08

Mummy ne thik subah sava paach baje jagaya…sab log ready huye…taiyaariyan to ho chuki thi…Jinmataji ke darshan karke hum log thik sadhje saat baje humari apni silky silver colour ki Maruti Omni jo humne issi GudhiPadve ke shubh muhurt pe kharidi thi me sawar huye…Mai, Nikhil, Mummy, Sunil Chacha, Vandana Chachi, Shubh, Minal aur Rambhau(hamara driver)…

Malegaon se Mehkar tak ke safar jo ki sirf 45km ka hai…me Karunamayi Maa Jinmataji ka mangal path kiya…ghar se sirf dudh-chay lekar nikale the hum log…to mehkar me thoda snaks lene ke liye gaadi roki gayi…garma garam samose, moong vade aur pakodi ka maja liya gaya…

Mehkar se prasthan kiye…ab hume intezar Aurangabad ka tha…waha par Chachi ke badi bahan ka ghar hai…waha humare lunch ka intezam kiya hua tha…Mehkar se Aurangabad ke bich me Deolgaon Raja bhi padta hai…lekin humlog via Nhava nikle…haan lekin Deolgaon Raja ko yaad kar kar ke Nikhil ko bahut chidhaya…are bhai…uski ek classmate jo waha rahti hai…

Nhava ke pass Ganesh ji ka ek khoobsurat mandir hai…Malacha Ganpati…Bappa ke darshan liye…humare dharmik paryatan ka sahi mayno me ShriGanesha ho gaya…mere digicam Nikon Coolpix L5 se photography ki shuruwat ki…








Thik sadhe barah baje Aurangabad pahuche…mausiji ke ghar ka delicious khana hum logon ka intezar kar raha tha…lunch hua…thodi se gapshap huyi…jyada samay to tha nahi…hume Nashik jo pahuchna tha…sabse vida li…aur chal diye Nashik ki or…

Vaijapur..Yeola…Nifad hote huye hum log pahuche KumbhNagari Nashik…are haan…ek baat to batan bhul hi gaya…Nifad me ek Traffic police se humari Omni ka nain-m-takka ho gaya…sahab ne siti bajai…aur Omni ko rukna pada…driver sahab ne jaruri papers sahabji ko bataye…sahab ne hum jaane diya…

Nashik pahuchte hi…maine Chhote Nanaji ko call kiya…wo Nashik pahuchne me hi the…ve log Shirdi se by bus aa rahe the…hum bus stop pahuche…wo log humara intezar kar rahe the…

Nanaji, naniji, Trupti mausi, Mukta mausi aur Anmol…ye bhi humari tarah Kalsarp pooja ke liye hi aaye the…ek auto thahra ya…ek Omni aur ek auto me sawar hokar hum log Nashik darshan ke liye chal diye…

Ye meri 4th Nashik trip thi…ek baar school trip me…ek baar dosto ke saath tour me…ek baar mini invertors kharidne Sunil chacha ke saath mai pahle bhi aa chukka tha…

Mukti dhaam ke darshan liye…panchwati me…KalaRam Mandir…Sita Gufa…Kutiya ke darshan kiye…bus stop pe pahuche…auto ko chhoda…hum log Omni se aur Nanaji log by bus Tryambakeshwar ke liye rawana huye…

10 baj chuke the…Tryambak pahuchte hi humne 4-3 seater rooms book ki Shri Gajanan Maharaj Sansthan ke bhakt niwas me…fresh hokar…sansthan me hi Khichdi Kadhi khakar apni bhuk ko thanda kiya…sansthan me ratri 10 ke baad pahuchne wale logo ko Khichdi-Kadhi vina mulya di jati hai…



Good night…ab hum so rahe hai….