Friday, October 3, 2008

Nashik Trip - Day 1

Prasthanam...

Zindagi me kai baar un baton par bhi vishwas aur aastha rakhni padti hai jinpar hume bulkul bhi vishwas na ho…ye hum sirf apne kisi chaahane walon ke khatir karte hai…aise hi ek kaam ke liye hume Tryambakeshwar jana tha…yog tha Kalsarp pooja karane ka…

17th July’08

Mummy ne thik subah sava paach baje jagaya…sab log ready huye…taiyaariyan to ho chuki thi…Jinmataji ke darshan karke hum log thik sadhje saat baje humari apni silky silver colour ki Maruti Omni jo humne issi GudhiPadve ke shubh muhurt pe kharidi thi me sawar huye…Mai, Nikhil, Mummy, Sunil Chacha, Vandana Chachi, Shubh, Minal aur Rambhau(hamara driver)…

Malegaon se Mehkar tak ke safar jo ki sirf 45km ka hai…me Karunamayi Maa Jinmataji ka mangal path kiya…ghar se sirf dudh-chay lekar nikale the hum log…to mehkar me thoda snaks lene ke liye gaadi roki gayi…garma garam samose, moong vade aur pakodi ka maja liya gaya…

Mehkar se prasthan kiye…ab hume intezar Aurangabad ka tha…waha par Chachi ke badi bahan ka ghar hai…waha humare lunch ka intezam kiya hua tha…Mehkar se Aurangabad ke bich me Deolgaon Raja bhi padta hai…lekin humlog via Nhava nikle…haan lekin Deolgaon Raja ko yaad kar kar ke Nikhil ko bahut chidhaya…are bhai…uski ek classmate jo waha rahti hai…

Nhava ke pass Ganesh ji ka ek khoobsurat mandir hai…Malacha Ganpati…Bappa ke darshan liye…humare dharmik paryatan ka sahi mayno me ShriGanesha ho gaya…mere digicam Nikon Coolpix L5 se photography ki shuruwat ki…








Thik sadhe barah baje Aurangabad pahuche…mausiji ke ghar ka delicious khana hum logon ka intezar kar raha tha…lunch hua…thodi se gapshap huyi…jyada samay to tha nahi…hume Nashik jo pahuchna tha…sabse vida li…aur chal diye Nashik ki or…

Vaijapur..Yeola…Nifad hote huye hum log pahuche KumbhNagari Nashik…are haan…ek baat to batan bhul hi gaya…Nifad me ek Traffic police se humari Omni ka nain-m-takka ho gaya…sahab ne siti bajai…aur Omni ko rukna pada…driver sahab ne jaruri papers sahabji ko bataye…sahab ne hum jaane diya…

Nashik pahuchte hi…maine Chhote Nanaji ko call kiya…wo Nashik pahuchne me hi the…ve log Shirdi se by bus aa rahe the…hum bus stop pahuche…wo log humara intezar kar rahe the…

Nanaji, naniji, Trupti mausi, Mukta mausi aur Anmol…ye bhi humari tarah Kalsarp pooja ke liye hi aaye the…ek auto thahra ya…ek Omni aur ek auto me sawar hokar hum log Nashik darshan ke liye chal diye…

Ye meri 4th Nashik trip thi…ek baar school trip me…ek baar dosto ke saath tour me…ek baar mini invertors kharidne Sunil chacha ke saath mai pahle bhi aa chukka tha…

Mukti dhaam ke darshan liye…panchwati me…KalaRam Mandir…Sita Gufa…Kutiya ke darshan kiye…bus stop pe pahuche…auto ko chhoda…hum log Omni se aur Nanaji log by bus Tryambakeshwar ke liye rawana huye…

10 baj chuke the…Tryambak pahuchte hi humne 4-3 seater rooms book ki Shri Gajanan Maharaj Sansthan ke bhakt niwas me…fresh hokar…sansthan me hi Khichdi Kadhi khakar apni bhuk ko thanda kiya…sansthan me ratri 10 ke baad pahuchne wale logo ko Khichdi-Kadhi vina mulya di jati hai…



Good night…ab hum so rahe hai….

Mangal

Kuldevi Maa JeenBhavani ka aadesh hua...aur humne Mataji ke mangal ka aayojan kiya...Mataji ke sampoorna jeevan charitra ko mangal kaha jaata hai...

Prastut hai...Mangal aayojan ki kuch jhalkiyaan....

Jin-Jin bhaj barambara...
Har sankat ka ho nistara...


Mataji Ka Darbar

Mataji ka Mangal Kaksh me aagman

Dhanya ghadi dhanya bhaag ha mhara...
Mataji mhara ghara padharya...
Karo Suwagat Maiyya ko...


Mataji ka Janmotsav
Hua hua re janam hua Maiyya ka...



Jin bhawani ne parava chunadi maa Jin bhawani ne...

Ho Mehandi mand dyu bhawani dono hatha me thara...

Iss Mangal ke dauran...Mataji ka Janmotsav, Mehandi Utsav, Chunari Utsav evum Chhappan Bhog manaya gaya tha....

holi celebrations

coming shortly...

last day at CTS












coming soon...

Friday, May 30, 2008

Bay Decoration at CTS

The mail with subject Let's Paint Cognizant in our TriColor!!! popped up...and our team started the planning...It was a mail from HR, announcing the bay decoration and team dress code competition...as 15th August itself was holiday the competition was on 14th August....

As per our plan...we reached our desks wearing Green...initially we had not any plan for bay decoration...but after experiencing enthusiasm among various project teams...some sort of energy and spirit ran through our bodies...

We divided our team and divided the work...One group went out to bring decorative articles...one group was alloted Googling...

After having all the things in place...we started the work...I took the printouts of images and data gathered by Googlers...Ami, Asavari and other girls prepared wall papers with nice sketches...Pankaj, Vaibhav, Prasanna and Rahul decorated our bay with ballons...ribbons...Tricolors...and paper wind mills...also wall papers prepared by girls had also been pasted on the walls of cubicles...

Each of the wallpaper was singing about Growth...Achievements...Accomplishments...National heroes...that we have gained after Independence...

Icing on a cake were tricolored broaches having 3M logo at the center prepared by us...

So all set...Judges on their way...visiting each team...observing minutely...

After 2 days...that is on 16th...results were out by mail...

Congratulations to all our Participants..!!!
Amazing Enthusiasm and Team Spirit...!!!!!
The Winning Team in ICC for the Bay decoration is 3M People Soft and for the dress code is BRINKER (Both 8th Floor)


Some of the snaps...


My teammates...From left to right in first row...Rahul Sharma...Vaibhav Belgamwar...Prasanna Patil...
In second row...Ami Patel...Pankaj Wathodkar...Asavari and me...


Tuesday, May 27, 2008

Trip to Narayanpur...

I was counting down my last days at Pune...because I had resigned my lucrative job of software engineer...and headed towards my personal goal of doing something of my own...

I don't remember the exact date...it must be a weekend...we had planned a trip to Lonawla and Khandala...don't bother about the heading of this post...we had just planned about Lonawla-Khandala...my We includes...Myself...Hrishikesh...Sagar and Abhishek...I don't remember the reason behind Santosh's absence...

As per our preplanned modus-operandi...Hrishi gave us wake up call early morning at 5...but he also informed us about heavy raining at his place...Hrishi used reside at his maternal uncle's house at ...our plan was totally in mess...

After all those were my last days at Pune...finally we decided to visit Narayanpur post lunch...we Four left around 3 on 2 bikes...

Narayanpur is 45 kms from Pune, off Pune-Satara road...we took newly built 4-lane Super highway...we had digicam with us so kept capturing roadside lush green nature.....


Its me clad in raincoat...you can see lush green hillocks and tunnail gate at tha back...

We reached Narayanpur...here Venkateshwara Hatcheries (VH Group) has built a beautiful replica of Tirupati Balaji Temple...We took Darshana of Lord Venkateshwara Balaji...and enjoyed Prashad of mouth watering pure ghee Laddus...


Laughter is the Best Medicine!!!

You must be wondering what we guys are doing? Actually...there was a group of 30-35 middle aged people...they gathered to have a snap...photographer seemed to be very jolly...he held camera with one hand...raised his other hand in air...and said...Hasaa (Laugh)...once he said Hasa...the whole group did HaHaHa...basically we were mimicking them...not to make fun out of them...but to treasure it as a sweet memory....

Some of the snaps that we had taken on our return journey....


Enjoying the water flow across the farm...


Thodi masti...Thodi shararat...

Again it started raining heavily...we had to reach Pune before Sunset...we kept driving through rain.........

Thursday, March 27, 2008

Vow! Award!

I was staring at my computer screen...my fingures running smoothly on my
keyboard...I was working on an emergency CQ...CQ means ClearQuest...it was
a third party system used by 3M (our project client) employees to log bugs...
we used to call these bugs as CQs...

Jabse CQ Team me aaye the...CQs hi humari zindagi the...uthate...baithte...sote
...jaagte CQ hi dimag me rahte...kabhi kabhi to mujhe sapne me bhi CQs ke numbers
hi dikhai dete the...Sach me...

I was busy in my work...and Ami patted gently on my sholder, saying...Amol...hum log ko
award mil raha hai...?

What...? I thought Ami ka kuch item hai...or its her sarcastic way of coneying
any brickbat...

I was not at all ready to believe this...but that was true...Vaibhav had
told her regarding this...and Vaibhav got this news from Shraddha (our PL)...Vaibhav ne mujhe bataya ke abhi hume award mila nahi hai...we just have been nominated for that...

Finally...the mail popped...Manlog Award Distribution Function...on 12th July...venue ICC's Sumant Moolgawkar Auditorium...

The Golden Day arrived...we reached the venue...auditorium was half occupied...we took seats...people were coming...after sometime chief guest came...Vice President of ManLog was the guest of honour...

The ceremony started...VP delivered a presentation showing progress and future plans of ManLog vertical...after the presentation...it was a time for award distribution...

For each award...there were several nominations...We had been nominated for Warriors of Time Award...speaker announced the nominations...after that...

And the Winner is...3M PeopleSoft Team...May I request Vaibhav Belgamwar, Ami Patel, Amol Agrawal and Neha Sultan to come on stage and collect the award....



Yo!!!! Our hard work, devotion and sincere efforts brought the award to us...humari mehnat rang layi...our joy knew no bounds...pura ke pura auditorium taaliyon se gunj raha tha....

Have a look at the Golden Certificate...



Kuch aur award diye gaye...Vote of Thanks hua...ceremony ke khatm hote hi...hum phir se pahuche apne apne desk...jaha par ek aur CQ humara intezaar kar raha tha......

Tuesday, March 4, 2008

Darshan-e-5 Sitaran

07.07.2007

Jab koi baat bighad jaye...jab koi mushkil pad jaye...tum dena saath mera... song from movie Jurm...& my cells current ringtone...My cell buzzing...I am sitting on bench at Chatushringi Temple...Kapil Kaka flashing on my mobile screen...Kapil Soni was calling me...

Kapil : Kaha hai re...?
Me : Pahle tu bata...tu kaha hai...?
Kapil : Mai khada hoon office ke niche...
Me : Ohh...mere ya tere...
Kapil : GLT 1.0 ke niche...(Kapil works with HSBC and GLT for Global Training Center
1.0 is name of the their building)
Me : Achchha...mujhe laga ke tu mere office ke niche hai...mai office ke pass hi
hoon...Chatushringi mandir me...
Kapil : Ok...!!! Shaam me free hai...?
Me : Hmmm...haan...kuch khaas kaam hai...?
Kapil : Le Meridian chalega...???
Me : Kya...??? Kya bol raha hai...???
Kapil : Wohi...jo tu sun raha hai...
Me : Majak mat kar...!!! (Loudly)
Kapil : Abey...sach bol raha hoon...ek presentation hai waha...uski 2 passes mili
hai...2 log ja sakte hai...so I decided ke tu chalega saath me...
Me : Ok...kab chalna hai...??? Kaha milna hai...???
Kapil : Mai thodi der baad call karke batata hoon...
Me : Ok...chal then...bye...
Kapil : Bye...

Unbelievable...apni LiFE me pahli baar...***** (5 Star) hotel me jane ko milega...wo bhi free of cost...bahut dino se socha tha...ke ek baar to jarur jaunga...chahe khud ko paise kharch kyon na karne pade...lekin free me jane ko milega ye to sapne me bhi nahi socha tha...

7:30 pe presentation start hona tha...hum Late-latif log thik 8:30 pe pahuche...

Entry karte hi...dikhai di...ek se badhkar ek...shaandaar caron ki katar...Hummer...Skoda...na jane kaun kaun si...kai Caron ko to mai pahli baar dekh raha tha...

Le Meridian ki khoobsurati ka andaza uske Vishal Entry Gate se hi lagaya ja sakta tha...Jitna Khoosurat hotel...utne hi khoobsurat waha ke log...Lady Receptionists...Wah!!!

Dil dhadkan to rukne ka naam hi nahi le rahi thi...kya kare...? Pahla experience jo tha...Isi hotel me kisi rahis family ka koi get together tha...un logon ke Vaibhav ke baare me mai kya kahu...!!!

Hotel ka muaayna karte karte hum log pahuche The Regal...jaha presentation chal raha tha...

Presentation HSBC Bank ne organize kiya tha...Mr. Arindam Ghosh, Head of Sales, Retail & Private Banking, JP Morgan Asset Mgt India P Ltd the...sab log shaant mann se sun rahe the...waha ke Shaanti ko humari chahalkadmi bhang kar rahi thi...

Presentation khatm hone me tha...Speakerji bahut gyani malum huye...presentation khat m hua...uske pashchaat question-answer session tha...log diggajon ki tarah sawal puchhne lage...aur speaker sahab utne hi hoshiyari se unke jawaab de rahe the...

Vote of Thanks hua...ab baari thi Cocktails evum dinner ki...

Cocktail ko chhune walon me hum na the...Teetotaller jo thahre...

Humne colddrink liya...aur PaanchSitara Dinner lene lage...

Dinner hua...menu to mujhe yaad nahi...Desserts me I/c with Hot Chocolate aur Gulab Jamun the...




Reception aaye...kuch snaps liye...thodi der reception ke sofo ka aanand liya...

Aur phir...in sunahari palon ko apni yaadon me sanjoke chal diye...

Wednesday, February 20, 2008

Wonder Funkey

After bringing up the Team Outing issue many times in Bi-Weekly Status Meetings...Ajith (Our Manager) and Shraddha (Our Team Lead)...gave Green Signal for team outing...they left decision for venue and date to us...

Date...was the main issue...because...it was very difficult for us to decide on any date...as on any particular date...there was someone who was going to be absent...

I also had problem with dates because of our family Outing....finally date got decided...so already 2 months passed by...Our managers were intelligent enough...they left these decisions to us...

Venue was the point to be discussed now...finally 2 venues were on the ballet paper...WonderFunkey and Manas Resort...most of the Veggies and fun loving people
wanted WonderFunkey...and GillyParty lovers and Non-veggies wanted Manas Resorts...

The onus of decision came on Outlook Voting...finally...WonderFunkey won!!!...by mere 2 votes...we were Glad...

The day 04th July'07 dawned...

After finishing all office work...we left for the venue around 6 o'clock...

Rs. 800 per head package was pre-decided and the menu too...

Afer entering WonderFunkey...Welcome drink and snacks were served...
Exotic Mocktails of BlueHeaven and FruitPunch were truly refreshing...and sumptuous starters were Seekh Kebab, Spring Rolls with Hot Garlic Sauce, Cheese Cigars etc.

Ajith had invited Raj Patil (VP, PeopleSoft) as a special guest.

Managers and Guests were still awaited. So till then we decided to enjoy bowling.



I was bowling for the first time. Really liked it!!! It felt like big achievement when all pins fell down in a single bowl...

Rs. 800 package included above mentioned snacks...mocktails and dinner. Bowling, Dungeon Ride, Bike and Car Race other games were also included.



Enjoyed all the games...like biking...car racing...gun games etc...only dungeon ride was remaining...dungeon ride...ek andheri tunnel...jisme bahut saare darawne statues...artificial haddiyan...laal rang ki maddhim roshni...darawni aawaje...iss tunnel ke aakhir me ek chhotasa train numa dibba...iss dibbe ke saamne parda...

Iss parde per ek 3D movie dikhai gayi...aur uss movie ke chitron ke anusar train ki movement aur kamre ka vaatavaran bhi...jaise agar movie me left turn ho to train bhi left ki or moodti thi...aur agar movie me baarish ho rahi ho...to room me bhi baarish...bahut hi anokha anubhav raha...Dungeon Ride ka...

Ab tak sabhi managers aur guests aa chuke the...unse milna tha...Raj ne sabka informal introduction liya...jisme no technicals...only name...place...and hobbies batani thi...

Introduction ke baad dinner hua...Menu isprakar tha....

Shruruwat from Soup: VegManchow(Oriental) and Cream of Tomato(Rest of the world)
Mouth Watering Salad Bar : Green Salad, Pasta Milanaise, Exotic Chat and Aloo Chana Chat.
Main Course: Mix. Veg Dry and Kadhai Paneer (Indian Selection), Vegetable Manchurian (Oriental Selection)
Side Dish : Dal Tadka
Staple: Plain Naan and Butter Paratha
Rice: Green Peas Pula
Indian Accompaniments:
Raita:
Boondi Mint Raita, Pineapple Raita and Dahi Bhalla
Papad: Fried
Pickle: Mango
Desserts: Rasmalai, Bread Butter Pudding and Hot Brownie with I/c

Menu was also predecided by our team.

Wonderfunkey me menu ki bahut choice milti hai...dinner was tasty...enjoyed it...

Now it was time to say Bye!!!

Tuesday, February 19, 2008

Aa ab Laut Chale

Ek ke baad ek station aate gaye...raat ho gayi...so gaye...

Subah 9 baje Bhusawal aaya...Papa, Mummy aur Nikhil utare...inka Bhusawal se Akola ka reservation Maharashtra Express se tha...mujhe Goa Express se hi Pune tak jana tha...

Sab se vida li...train nikal padi...aage ka safar akele hi tay karna tha...

Goa Express bahut hi fast hai...Daund station pe maine ek novel liya...LoveStory by Erich Segal...bahut hi famous novel hai...Novel padhte padhte Pune kab aaya pata hi na chala...

Station se Kothrud jane wali PMT pakdi...Kal se wahi zindagi phirse shuru hone wali thi...9:30 pe office...aur wapsi kab hogi...iska pata nahi...kabhi 8 to kabhi 9 to kabhi 11 baje....

Sachmuch...tour bada hi majedar raha...koi bhi taklif nahi hui thi kisi ko...nahi koi nuksan hua...haste khelte sab kuch dekhna ho gaya...kai dino se planning chal rahi thi...bahut maja aaya...... :) :) :)

Hujur...Wah! TAJ!!! Boliye

25.06.07

Subah ready huye...luggage pack kiya...Phogla aashram me nirantar path karne wali Matao ke darshan kiye...aur aashram se vida li...

Taxi me baithke...Mathura aaye...hume Agra jana tha...pahle humne bus se Agra jane ka socha tha...lekin taxi me baithe ek Kakaji ki salah humne mani...unke mutabik kuch hi der me Tufan mail hai...wo bhi ussi se Agra ja rahe...

Humara unluck usdin joro par tha...train bahut late thi...train ka intezaar kiya...ticket to hum pahle le hi chuke the...train aayi...hum logo ke pass luggage aur train ki bhid ke kaaran hum General boggie me nahi chadh paye...ek sleeper me hum sabhi sawar huye...

Maine kaha na unluck joro pe tha...1 ghante ke safar me bhi...hum logo ko squad ne pakad liya...fine bharna pada...rakam to mujhe yaad nahi...

Prepaid taxi leke hum log Agra bhraman karne nikal gaye...

Sabse pahle hum pahuche...Lal Kila...



Tez dhup me ghum rahe the...jaan pani pani ho rahi thi...

Lal Kila me ek khidki hai...wahase Taj ka manoram najara dikhai deta hai...Shahjahan issi khidki se Taj ko banta dekhte the...

Lal Kila...puri tarah lal pathhro se bana hai...bahut hi vishal hai...

Kile ke bahar bane restaurant me humne lunch kiya...phir Taj ki or nikal pade...

Taj...uske pravesh dwar se bahut dur...rikshe se jana padta hai...andar auto le jane ko manai hai...auto ke dhuwe se Taj ke paththaro pe daag padne ka khatra jo hai...

Garm sangmarmar pe nange pair chalna pada...jaan hi nikal gayi...


Taj...sundarta evum pyaar ka pratik...

Photography ki...Taj ke kalash pe hath bhi rakha... ;) I mean...Taj ke kalash ke upar hath rakh ke trick photography ki...

Taj ke pass ki hariyali par...ped ki chhav me kuch der baithe...uske baad hume railway station pahuchna tha...train Goa Express hume lene thik 6 baje jo aane wali thi...

Samay ki kami ke karan hum log 1-2 points nahi dekh paye...

Sabke liye...bahut sara Agra ka petha kharida...Station ke ComSum me maine aur Nikhil ne dosa liya...sabne thandi lassi li...train aayi...humlog sawar huye...

Hum log...humara safar khatm karke...apne Ghar ki aur wapsi kar rahe the......

Krishnam Vande Jagatguru!!!

24.06.2007

Subah ready huye...break fast kiya...nikale bus dhundhne...aashram se nikalte hi bus mil gayi...ticket tha Rs. 100...

Sabse pahle hum pahuche...Radhakund...kund ke darshan kiye...lassi pi...

Agla padav tha...Giriraj ji...

Giriraj Dharan ki Jay!!!

Girirajji ki Parikrama ka apna alag mahatva hai...itni badi parikrama puri karne me kai din lagte hai...Giriraj ji ki ek Shila rakhi hai yahake mandir me...humne usiki parikrama ki...

Wahase nikalkar...hum pahuche Barsane...yahaka mandir bahut hi uchai pe hai...budhe logo ke liye doli ki suvidha upalabdha hai...175 payriyan chadh ke hum log darshan ke liye pahuche...wapsi ke samay lassi ka aanand liye...kuch thandak mili...

Is bus ka aakhri stop tha...Nandgaon...mandir me darshan kiye...waha ki kahani suni...aur chal diye...

Phogla aashram pahuche...bhojan kiya...thode vishram ke baad ek auto me baithke pahuche Matura...

Mathura me sabse pahle Krishna Janmbhumi pahuche...pravesh dwar pe bahut bhid thi...bhid ke bich me Hari poshakh pahne military adhikari bhi the...kadi suraksha thi waha...har aadmi ko 3 log aur 2 machines check karti thi...


Krishna Janmabhumi ka Vishal Pravesh Dwar

Yaha par...kai chhote mandir...ek gufa me basaye gaye hai...wo jail jisme Krishnaji ka janm hua tha...wo bhi vyavasthit hai...

Nand ghar aanad bhayo Jai Kanhaiyyalal ki!!!

Yaha ki Radhe-Krishna ki jhanki bahut hi sundar lagi...camera bahar hi rakhwaya gaya tha...so sundarta ko kaid na kar saka...

Mandir se nikalke chaat ka aanand liya...UP ki chaat aur MH ki chaat...bahut fark hai...UP ki chaat ki baat kuch aur hi hai...

Iske baad Dwarkadhish ke Mandir pahuche...ye mandir bahut hi bhid wale sthan pe hai...ek to bahut bada market...aur chhoti si galli...bhid to hogi hi...

Mandir ke darshan kiye...mummy ne ghar ke Kanha ke liye mukut liye...

Mandir ke pass hi me...Vishram ghat hai...Yamunaji ke darshan kiye...boating ka maja liya...Yamuna ji ki aarti dekhi...

Ab phirse apne padav pe lautna tha...Vrindvan ke Phogla aashram........

Jai Shri Krishna!!!

23.06.2007

Hey Krishna! Karunanidhe DinBandhu Jagatpate!!!

Raat bhar ke safar ke baad hum log pahuche Krishna Janmabhumi Mathura...Mathura ke mukable jyada mandir Vrindavan me hai...to hum log a auto se Vrindavan ke liye nikale...Mathura-Vrindavan ki duri kuch 15km ki hi rahi hogi...

Vrindavan me Phogla Ashram jo ki Raman Reti par sthit hai me aashray liya...ready hokar lunch kiye...bahut thake huye the to thodi neend bhi li...uske pashchaat 2 rikshe thahra ke hum log nikle Vrindavan ghumne...

Vrindavan ke rikshaws kuch ajeeb hi lage...ek dum chhote chhote...seat to itni chhoti ke 2 aadmi bhi thik se na baith sake...aur to aur in rikhsaw me samne ki patli bhi nahi hoti...in rikhe walo ki 1 aur visheshta tum ko batadu...in rikhaw me ghanti nahi hoti...jab bhi koi bich me aaye...to ye log Radhe, Radhe aisi aawaj laga dete hai...

Kya kahenge aap isse...??? Mai to isse aseem bhakti evum nishtha hi kahunga...

Rikshaws me baithkar hum log ek ke baad ek mandir dekhne nikal pade...Vrindavan ke vividh mandir iss prakar...

1. Pagal Baba Ashram
2. Banke Bihari Mandir (Yaha Kanha ki Baal Murti ke darshan liye jaa sakte hai...Kanha ko najar na lage isliye mandir ka parda thode thode antaral ke baad band kiya jata hai...)
3. Radha-Raman Mandir
4. Radha-Damodar Mandir (Iss Mandir ki Parikrama lagane pe Govardhan Parvat ki parikrama ka phal milta hai...)
5. ISKCON Temple
6. Rang Mandir
7. Shish Mahal
8. Nidhi Wan
9. Govindji Mandir
10. Radha Rani Mandir
11. Kadam Ped
12. Radha Tila




Tedhe khambo wala Radha-Govind Mandir

In sab mandiro ke darshan lete huye...Makhan Mishri...Lassi...Maal Pua...Rabri ka aaswad to hum le hi rahe the...

Radhe-Krishna ki sajeev mudraye agar aapko dekhni ho to ISKCON mandir to aapko jana hi padega...koi bhi ISKCON Mandir lo...jaise Delhi...Mumbai...ya phir Vrindavan...in mandiro ki shobha bahut hi nirali hoti hai...yaha ke bhajan kirtan me badhiya aanand bhi aata hai...

Haan...Vrindavan me bandaro bahut hai...khabardar...agar aapke pass Mobile, Chashma ya goggle hai to chhipa lijiye...bandar log rahne nahi denge...Radhe-Govindji ke mandir me ek bandar ne Papa ke khande pe chadh Papa ka chashma leke chala gaya tha...

Ashram pahuche...dinner ka mood to kisi ka tha nahi...dudh liya aur so gaye........

Deobhumi Rishikesh

22.06.2007

Din ki shuruwat huyi...Rishikesh ka saundarya aankhon me sama gaya...Wah!!! Prakruti ka anupam tohfa...aap bhi iska luft uthaiye...niche ki tasvir dekh kar... :-)



Fatafat ready huye...humari School jisme hum ruke the wo Ram Jhule ke pass hi thi...Ram Jhula paar karke...waha ki ek tapri pe chay-suwali ka maja liya...

Iske pashchaat humne Geeta Bhawan...Parmarth Niketan...Vanprasth Aashram...Swargashram...ye mandir dekhe...

Baba Bhuthnath ka mandir kuch uchai pe tha...to hum log waha gaye nahi...Parmarth Niketan me bani 12 avtaaron ki jhakiyan evum kaanch ke mandir manmohak lage...

Lunch...Chotiwala me kiya...Chotiwala naam ka bahut hi badhiya restaurant hai waha...yahaka vishesh aakarshan...restaurant ke baahar baithne wale Chotiwale hai...



Lunch ke pashchaat...Neelkanth Mahadeo ke liye nikle...ye kuch 10-12 km ki duri pe hai...Uchi uchi pahadiyon ke bich Bholenath ka puratan mandir...karibi logo ki bahut shraddha hai uspar...

Neelkanth ke dwar pe mattha tek kar nikle...taxi ke sabhi log aane baki the...pattharon par baithke intezaar jari tha...Neelkanth Mahadeo hum log ek local taxi se gaye the...

Wahase lautne ke baad...Laxman jhula...11 manjila mandir dekha...Mandir ke bhitar hum log gaye nahi...bahut thake huye jo the...

Lautkar packing ki...mai aur Papa...bus stop jakar...Mathura ki bus ke liye inquiry karke aaye...

Parmarth niketan dwara ki jane wali Ganga Arti ke baare me Samta Mausi se kafi kuch suna tha...uske darshan lene baki the...Parmarth niketan pahuche...Nikhil ka Gangaji me nahane ka bahut mann tha...usne apni jidd puri ki...

Parmarth Niketan ke saare anuyayi aarti ke pahle bhajan-kirtan karte hai...Yagya bhi kiya jaata hai...hawan ke pashchaat aarti ki jaati hai...visheshta to iss baat ki hai ke Pancharti har aadmi ke haath me di jaati hai taki wo bhi apni Gangaji ki aaradhna kar sake...bahut aanand aaya aarti karke...




Aarti ke baad...school pahuche...hum log school me hi ruke the...luggage liya...bus stop pahuche...Mathura humara intezaar kar raha tha......

DevBhumi Uttaranchal

21.06.07

Subah jaldi ready hoker ke breakfast kiya...fatafat Indica me sawar huye...Indica pahlese hi book ki huyi thi...ab sidhe Haridwar pahuchna tha...

Delhi ke traffic ko paar kiya...lekin Faridabad tak gadi 30km/hr ki raftar se jyada chal nahi saki...road pe traffic bahut tha...

Jaise hi Uttaranchal ki shuruwat huyi...mausam kuch thanda lagne laga...pure khet me lahlahati fasal manmohak lag rahi thi...hawa ek ajeebsi khushboo liye thi...

Haridwar kuch 10 km ki duri par tha...meri najar ek building pe padi...naam tha Patanjali Yoga Sansthan...Mummy-Papa bole nahi rukte...mai bola...Chalo dekh lenge...aakhir RamdeoBaba ka naam bahut famous hai...



Patanjali Institute...bahut hi badi jagah me faila hua tha...puri jagah me lawn, fountains, statues building ki shobha badha rahe the...Patanjali ki Vishal murti darshako ka man moh leti thi...

Institute me marijon ko free me check kiya jata hai...dawai ke paise lagte hai...

Yaha se nikalkar ab Haridwar pahuchna tha...

Har ki Paudi pahuche...Ganga maiyya ke darshan kiye...Ganga Mandir me puja ki...

Haridwar me...Mansa Mata aur Chandika Mata ke mandir pahadi pe bane hai...yaha jane ke liye Udan Khatolon ki madad li ja sakti hai..



Humne...Rs. 152 me combo pass li...jisme dono mandir Udan Khatolo me baith ke ja sakte hai...aur to aur 2 mandir ke bich transportation bhi ho jata hai...Udan Khatole ki service Usha Breko Ltd. dwara di jati hai...humne 2no mandir ke darshan kiye...

Haridwar me...aur bhi kai mandir the...jaise Pawan Mandir...Bharat Mata mandir...ShantiKunj...lekin Gangaji ki aarti ka samay ho chuka tha...to hum log sidhe Har ki Paudi pahuche...



Sachmuch...itna Vishal Jansamuh...eksaath...haath me Deep liye...Gangaji ki aarti kar raha...ye drishya bahut hi lubhawna lagta hai...humne bhi aarti ki...apne apne deepak ko Gangaji me bahav diya...

Haridwar se Rishikesh kuch 10-15 km ki duri par hi hai...waha jake rukna tha...Hari ke Dwar se nikale...Rishikesh pahuche...ek school me room liya...school ka naam tha...Aadarsh Sanskrit Vidyalay...undino...chhuttiyan chal rahi thi...isliye schoolo me room diye jate the...

Bahar ke restaurant me dinner kiya...aur so gaye........

Ab Delhi dooor nahi...

Delhi pahuchte hi...Paharganj ki Ajanta Hotel me room li...fresh huye...Paharganj me hotels ki kami nahi hai...pure area me hotel hi hotel hai...

Pass hi ke ek restaurant me jake dinner kiya...phir so gaye....

20.06.07

Subah jaldi jaag kar ready huye...waise to Delhi pahle bhi ghuma hua tha...lekin naye points dekhne the...Papa aur maine jaker, Delhi site-seeing ke liye Indica book ki...

Break fast kiya...aur Indica me sawaar hoke...nikal pade Delhi dekhne...

Delhi bahut garm thi...subah 10 baje bhi garmi ke mare bura haal ho raha tha...

Ee hai Delhi nagariya Tu dekh babua...

Sabse pahle pahuche...ISKCON temple...mujhe ISKCON temple bahut hi pasand aate hai...khass kar wahaki murtiyan...bahut sajeev lagti hai...

Yaha ke animation show ke baare me Reetesh se kaafi kuch suna tha...wahapar Geetasaar par aadharit Vaidic Pradarshani bahut hi sachchi evum manohari pratit huyi...ticket tha Rs. 40...

Iske pashchaat...hum log pahuche Metro train ke Appughar stop pe...AppuGhar humne last Delhi visit me dekha hi tha...driver ne hume samajha diya tha...ke humko Zandewalan stop tak jana hai...waha utarkar Vishal Bajarang Murti ke pass rukna hai...

Metro train bahut hi pyaari lagi...fully automated train...har station pe apne aap doors khulte aur band hote the...station aane se pahle suchna di jaati thi...ke agla station kaunsa hai evum station left/right side me hai...

Zandewalan station ke pass...ek Bajarangbali ki Vishal murti hai...uske darshan kiye...usi murti ke andar aur mandir bane hai...

Uske pashchaat...karol bagh pahuche...waha ke ek restaurant me lunch kiya...Karol bagh bahut hi bada market hai...waha se sab bachchon ke liye school/tution bags kharide...yaha har badi/chhoti dukan me bargain hota hai...

Ek majedar wakya sunata hoon...Mummy ek imitation jewelry shop gayi...waha chudiyan dekhi...Mummy ko wo pasand to aayi...lekin Mummy ne socha ke achchi niklegi ya nahi...to nahi leti...chudiyon ka rate Rs 600 tha...to Mummy ne Rs. 400 me hi maanga...yah sochkar ke wo nahi dega...lekin wo shopkeeper Rs.400 me dene me ready ho gaya... :-) ...phir kya tha...Mummy ne Rs. 400 ka risk le hi liya...

Ab hume jana tha...Akshardham temple...yaha par photography allowed nahi hai...isliye i don't have any photographs...

Akshardham temple...bahut hi Vishal hai...Swami Narayanji ke jeevan par aadharit vividh karyakram bhi yaha pesh kiye jaate hai...yaha ka pramukh aakarshan Musical Fountains hai...mandir me entry to free hai ...lekin waha ke karyakram dekhne ki alag alag tickets hai...

Akshardham se lautkar...hum phir pahuche Paharganj...Hotel Ajanta se hum subah hi check out kar chuke the...iss baar Hotel Maharani me room liya...raat bhi ruk ke subah Haridwar-Rishikesh ki or jana tha...

Jaipur ki Rahon par...

19.06.2007

Subah jaldi uthakar...phataphat sab log ready huye...Khatu Shyamji ki Shringar aarti ke darshan jo karne the...Aarti ke darshan kiye...kitna sunahara mauka tha...iss baar
Khatu Shyamji ki Shayan evum Shringar in dono aartiyon ke darshan huye the...

Mandir ke bahar aa kar...Tea-Coffee li...aur chal diye Jaipur ki or...car me pura luggage pahle hi saja liya tha...

Waise to Jaipur kai baar ghuma hua tha...lekin phir bhi in 5-6 salon me jo kuch naya bana hoga wo dekhna tha...aur thodisi shopping bhi karni thi...

Jaipur pahuchte hi...sabse pahle Akshardham (Swami Narayan Mandir) dekha...ye Vishal evum Khoobsurat mandir, Jaipur ke Vaishali area me Swami Narayan Trust ne hi banwaya hai...



Iske pashchat hum logone...Birla Mandir...Motidungri ke Ganeshji...HawaMahal (baharse)...Galtaji...Govindji ka Mandir dekha...

Govindji ke Mandir ke pass bane ek restaurant me lunch liya...iske baad...Baapu Market...Johari Market...Badi Sadak Market dekhe...Mummy ne Bapu Market se 2 saareeyan li...aur Nikhil ke liye 2 dress...No dress for me!!! :-(

In marketon me bani saari dukane Pink color ki hi hai...isiliye Jaipur ko Pink City bhi kaha jata hai...

Ab bhi humari train ko bahut waqt tha...to humne bacha samay Kanak Vrindavan Gardan me bitane ka socha...waha jakar dekha...to aise laga...ye koi gardan nahi balki lawn se bhi battar jagah hai...upar se Suraj to qahar dhha hi raha tha...

Train ke samay ke thik 1:30 ghante pahle hum log nikle...raste me Signal pe bana Peacock garden dekha...jo Kanak Vrindavan se bhi HaraBhara pratit hua...

Jaipur me dekhne layak anya sthaan...Amar fort...Jantar Mantar...Craft Museum...Nehru Rose Garden...Albert Museum.....

Devtaaon ke Dwar

18.06.2007

Subah 6 baje Mummy ne hum sab ko jaga diya...subah mataji ke darshan jo karne the...fatafat hum sab taiyyar huye...aur mataji ke charno me pahuch gaye...

Hum Teri Sharan me aa gaye...

Aarti ki taiyyari chal rahi thi...aarti huyi...uske paschat hum logo ne Mangal path kiya...Ghee-Chawal ka prasad liya...

Uske baad...apni car (are bhai...bhade ki!!!)...me baithe...aur Kajal Shikhar ki or chal diye...ab kajal shikhar tak car chali jati hai...8-10 saal pahle to puri pag-
dandiya chadh ke jana hota tha...

Apne bhai se jhagda hone ke baad...Mataji yaha aakar khub roye the...uss samay unki aankhon se kajal nikla tha...is liye is jagah ko...Kajal Shikhar kahte hai...



Kajal shikhar...se kuch duri pe JeenWaas hai...waha bhi gaye...waha par bani jhopdiyon me photography ki...



Uske pashchaat...niche aaker Chay-coffee-suwali ka luft uthaya...apna saaman gadi me dala...aur thik 8:45 pe Salasarji ke liye prasthan kiya...

Salasarji pahuchne ke baad...sarvapratham darshan liye...phir Samosa-Kachaudi se apni bhuk ko shaant kiya...saath me Nimbu ki shikanji to thi hi...

Wahase nikalkar...hum log 2 Jati Balaji pahuche...darshan kiye...aur phir pahuche Dhandhan...Dhandhan Mamaji ke kuldevi ka sthaan hai...Tida-Gela maiyya ye 2 bahano ka
mandir hai...Mandir ke darshan leke hum logon ne lunch kiya...lunch ka menu tha...Bhendi-Aloo-Baigan ki sabjiya...aur roti ke saath papad...Dhandhan me Mor Darshan kiye...ek kamra liya aur dophar ki neend li...

Uske pashchaat...hume Jhunjhanoo pahuchna tha...Jhunjhanoo me darshan kiye...tat pashchaat Petis+Panipuri+IceGola ka aanand uthaya...(aap ye to nahi soch rahe na...ke hum log kitna khate the...???)...




Jhunjhanoo se nikle...ab Khatu (Shyam baba ke dware) pahuchna tha...

Driver sahab ka swabhav achchha tha...Khatu ke raaste me padne wale 2 mandiro...Ghodiwara Balaji mandir evum Siddheshwar Mahadeo mandir ke darshan unhone swatah karwaye...

Khatu pahuchne ke baad...Shyam baba mitra mandal ki dharmshala me ek room liya...apna pura luggage car se utar kar room me rakha...aur phir darshan ke liye nikal
pade...kitna sunahara mauka tha...Shayan aarti chal rahi thi...aarti huyi...darshan kiye...bahar aaker ice cream khayi...khane ke liye pet me jagah to thi hi nahi...room pe bistaro pe pad gaye..........

Jai Jaipur

17.06.2007

Itarasi se nikale...phir raat to ho hi rahi thi...sabhi ne apni apni berth lapki...aur so gaye...

Subah Kota station pe chay-dudh liya...apne pass ki Suwali...Chuda...wagairah ka aanand liya....train late pe late hoti hi ja rahi thi...

Aakhir Jaipur ne hume darshan de diye...dopahar 1 baje hum logo pahuche...pure 7 ghante late...

Jaipur station ke retiring room me hi hum log fresh huye...station ke pass ke restaurant se mai aur Papa jaker lunch ka parcel leke aaye...menu tha...Dalfry...Kaju Curry...Raita...aur haan...rotiyan aur papad bhi the...

Ek Indica (Swadeshi) hire ki...aur nikal pade...

Sabse pahle hum log pahuche Dixitji ke yaha...we Jeenmataji ke param bhakt hai...unhone Jeenmataji ka mandir Jaipur me banwaya hai...kai baar Deepak chacha ka unse phone pe wartalap hua hai...wo humara intezaar hi kar rahe the...




Panditji apne bachchon ke saath...

Unse baat chit ki...bade hi nek aadmi malum pade....4 baje mandir ke pat khule...darshan...pooja ki...wo bole prasadi (bhojan) liye bagair nahi jane dunga...phir kya tha...wohi ruke rahe...

Shaam me aarti hui...uske baad prasadi li....aur phir unse bida li...hume Jaipur se Jeenmata ji ke dwar pahuchna tha...raat me thik 10:30 pe hum log Jeenmata pahuche...dharmashala me room liya...aur thodi der baad so gaye....

Intezaar-e-Itarsi

2:30 baj chuke the...pet me chuhe kud rahe the...khana jamke khaya...parcel food ka menu bhi kuch khass hi hota hai...baigan ki sabji...dry besan...2-3 type ke achar...namkin....maaja aa gaya...

Lunch ke baad...PowerNap to jaruru hoti hai...to phir kya tha...? Sabne apni apni berth lapaki aur so gaye...

Mai 5:30 pe jaaga...Itarsi aane me ab bhi kafi waqt tha...Itarsi me Swati Mausi rahti hai...wo station pe aanewali thi...Itarsi ke pahle kafi baarish thi...to Mummy ko laga ke unko faltu bhigna padega...jaise hi Itarsi aaya...waha baarish ka namo-nishan na tha...



Itarsi me Swati Mausi, Anil Mausaji aur Mahika aaye...unhone Bread-Butter...Dudh...aur kaafi kuch laya tha...train 10 minute ruki...fatafat dudh wagairah liya...train ke siren ke saath humne prasthan kiya......

Nagpur Station pe Sade Chaar Ghante

To subah 9 bajkar 20 minute pe hum logon ne SantraNagri me pravesh kiya...Railway station platform pe pahuchte hi pata chala ke Train No. 2969 CBE-Jaipur Exp apne nirdharit samay se thik 30 min ki deri se chal rahi hai....

Hum sabhi platform no. 1 pe pahuche...jaha pe train aane wali thi...fresh hokar Chay-coffee-Suwali ka maja liya...





30 min...phir dedh ghanta...dedh se dhai...train late hote gayi...maine call karke Sujay aur Kunal ko bulaya...wo SSGMCE me mujhse 2 saal junior the...maine to sirf un 2 logon ko call kiya tha...lekin humari puri team hi station par aa dhamki...phir baaton ka silsila chal pada...College ki yaadein ek baar phir taro-taza ho gayi...


Mummy ne hum sab logon ko Aam bandarkar diye...Juniors bol rahe the...Sirjee...college me ab wo maja nahi raha...Khair...

Train late thi to Papa-Mummy aur Nikhil...pass wale Tekdi Ganesh Mandir ke darshan karne gaye...mai apne saaman ki surksha hetu station par hi ruka...mere saath meri puri team to thi hi...garmi se raahat pane ke liye Coke liya...platform pe ek ke baad ek traine aakar ja rahi thi...humari sawari ko aane ab bhi 30 min baaki the...

Isi bich Sujay logon ne humse bida li...thik 1:45 pe train ka balkhate hue aagman hua...jyada bhid nahi thi...aaram se pura luggage train me chadhhaya aur apni seats pe virajman hue...thik 2 baje train ne prasthan kiya.....

Orange City ki Or

Akola ki raah hone ke kaaran...mobile ki chikh-chillahat ke pahle hi meri neend tut chuki thi...karib 3:15 huye the...puri train me ghana andhera chhaya hua tha...TTE sahab pass ke station se chadhe logon ki tickets ek batti ki maddhim roshni me jaanch rahe the...isi bich train ek station pe ruki...station ka naam tha Shegaon :-)

Shegaon ka mere jeevan me bahut hi ahum sthaan hai...aakhir yaha par maine apne jeevan ke 4 varsh bitaye hai...iss gaon ne mujhe bahut kuch diya hai...mujhe Computer Engineer bana ke hi chhoda isne...Shegaon ka naam padhte hi un 4 saalon ki yaadein ek chal chitra ke bhaanti mere aankhon ke saamne tair gayi...Shegaon ke station pe milne wali TR Sharma ki kachaudiyan...waah...mooh me paani aa gaya...

Udhar Akola me...sab log station pe pahuch chuke the...signal weak hone ke kaaran baat nahi hui...maine Papa ko message kiya...k Reachin der in 20mins..rite nw @Shegaon...train 15 minutes late ho chuki thi...

Akola station pe...Mummy, Papa aur Nikhil ko chhodne Kannu Mamaji aur Bichwale Naniji aaye the...pura luggage train me sajaya...Mamaji mere liye chay leke aaye the...maine chay li...Mamaji aur Naniji ko pranam kiya...aur kuch hi samay me Akola se vida li...

Hum log nikal pade the...apne jeevan ki bhag daud se churaye huye palon ko yaadgaar banane.........

Akela Safar...

Subah se ek sarikhi bhag daud chal rahi thi...ab kahi mujhe chain mila tha...ab Akola tak ka safar mujhe Akele hi tay karna tha...

Mai...Nikhil...Papa aur Mummy...outing ke liye nikale the...Rajasthan...Uttaranchal evum UttarPradesh jaane ka plan tha...

Pichhle ek mahine se planning...info gathering...reservation...packing ye sab chal raha tha...

Ye sab sochte sochte...Daund kab aaya pata hi nahi chala...maine Ice-Cream li...phir ek business magazine leke upar ki birth pe ja baitha...

Akola...subah 4 baje aana tha...waha se Mummy...Papa aur Nikhil train me chadhne wale the...maine apne cell me 3:45 ka alarm lagaya aur nidradhin ho gaya...

Pune se Prasthan

15th June'07

Ghadi...aaj kuch jyada hi raftar se daud rahi thi...aur uthi hi tez raftar se mujhe ek se ek important kaam yaad aa rahe the jo mujhe office se nikalne se pahle pure karne the...jaise...time-sheet submission...Self Appraisal...Weekly/Daily Excel sheet...issue ke final analysis ka mail...aur sabse important Leave Application.....

Haan...din tha Friday ka...aur mujhe office se 3 baje hi nikalna tha...05:20 ki PUNE-NGP Superfast jo pakadni thi...

Jaise taise saare kaam pure kiye...Rajib (Mere TL) se baat ki ...aur thik 3 baje office ko Bye kiya....

Office ke khatm aur baahar ke shuru huye...

Mithai leni thi...HDFC se ICICI balance transfer karana tha...socha flat pe jaane se pahle sab karlu...lekin naakam...mithai ke liye Chitale Bandhu ki saari dukane band thi...aur balance transfer ke liye mere pass check na tha...phir kya...??? Flat pe pahucha...apne Mandir ko Chuna lagaya :P...packing to pahle se hi hui thi...Reetesh ko jagaya...wo mujhe station chhodne aane wala tha...

Phir Reetesh ki khatra (khataara) Activa pe hum 3 (mai...Reetesh aur mera bag) sawar huye...aur chal diye station ki or...raste me ICICI ke ATM me check drop kiya...Garware Square wale Chitale Bandhu se mithai aur khakre kharide...

Station par pahuchne par waha ke famous Shiv-Kailash dudh ka aanand liya...(Reetesh mujhe free me to station pe chhodne wala hi nahi tha na...)...Train platform pe khadi humari raah dekh rahi thi...Pune se chalkar Nagpur ki or jaanewali train 2135 ne apne nirdharit samay se 5 min deri se prasthan kiya...

Train ki gati ke saath barish ki fuhare bhi jamin pe padne lagi...

I am back!!!

Last post dated 31st March'07...baap re baap...fianancial year end....uske baad kabhi posting nahi...sahi...bahut ho gaya...aaj se mere dimag ka bloggy-kida jaag gaya hai...1st April ke baad aaye saare vakaye post karna mai start kar raha hoon...bach ke rahna..........

Chalo...to start karte hai humari June mahine ki family outing ke saath...

Dad, how many Girl Friends did you have?

Boriyat ya susti se chhutkara pane ke liye aksar mai NDA Road ka sahara liya karta hoon…The road full of LiFE….full of Energy…full of Beauty…aur na jaane kya kya…

Agar aap kisi shaam iss road se gujare ho to aap samajh hi chuke hoge…….

Aur jab bhi mai uss Bhuttewali ko Sweet Corn ke bhutte bhunte dekhta hoon…to mujhse raha hi nahi jaata…Temptation pe kaabu paana maine to kabhi sikha hi nahi….

Shaniwar ka din tha…maine ek Bhutta liya aur jaa baitha pass me bani Puliya pe…

Ye road Chandni Chowk se NDA (National Defense Academy) ki or jaata hai…shaam ke samay kaafi log Evening Walk karte nazar aate hai…

Ek couple…jo apni Chalisi paar kar chuka tha…apni beti ke saath Evening walk ke liye nikla tha….(ye sab andazza maine unka aapsi samanjasya aur unka pehrav dekh ke lagaya hai)…..

Wo Tino aaye aur mere pass ussi Puliya par baith gaye…wo apne wartalap me mashgul the…achanak uss ladki ne uss aadmi se puchha….

“Dad, how many Girl Friends did you have…?”

Iss sawal se ek baat confirm hui…ke wo ladki unki beti hi hai….lekin sawal se uss aadmi se jyada bada shock to mujhe laga tha…ladki ne to sidhe Bouncer hi feka tha…..

“7-8 Astil…”(7-8 rahi hogi) Uncleji ne Marathi me jawab diya…Shayad unhone socha ho English me puchhe gaye sawal ka jawab agar Marathi me du to aage aur sawal puchhe na jaye…

Itna to achchha tha ke Ladki ki Mataji apne Cell pe busy thi…wo kuch Gujarathi me batiya rahi thi…wo in sab baton se bekhabar thi……matlab Uncleji ka Love Marriage hi tha….

Issi bich ladki ne ek In-Swinger dala….lekin iss baar Marathi me….

“Tyapaiki kiti janinna tumhi Driving shikawili…?”(unmese kitno ko aapne driving sikayi?)

Iss baar Uncleji ne thoda Defensive rukh apnate huye jawab diya…

“Tujhya Aaila sodun saglyana…”(Tumhari Mummy ko chhodkar sabhi ko)

Mai to ab Full Toss bhi jhelne ke kabhil nahi tha…mera Bhutta bhi khatm ho chuka tha…mai apni Bubbly ke saath chal diya apni Manzil ki or…….

ChOkHi-DhANi

Tour-De-Rajasthan

Ram Ram Saa…………ma…Priya...or Bindiya…Poona ka Marwad gaya tha…...Haan ji…the barabar hi bachya…Marwad gaya tha Marwad…Sair Karbane…Haathi…Ghoda...Oot ki sawari karbane………..

Poona
ka Marwad….???

Ha…thane bero koni…??? Poona ma bhi ek Chotoso…Sundarso…Marwad basyo ha…jikako naam ha…Chokhi~Dhani



Naya Saal ko swaagat karbane…mhe Chokhi~Dhani gaya tha…Khub masti karyaa…Mehandi Kadaya…Oot pa baithya…Kathputhli, Kalbeliya or Bhopa-Bhopi ko naach dekhya…Matka banaya…Dhol bajaya…Hukko piya…Rajsthani gana pa jhumya…apno Bhavishya janya…Dal-Baati Churma ki rasoi dhaap ka jimya…Bajra ki roti ko swaad chaakhya…Panghat pa paani piya………

Maharashtra ki Dharti pa…Rajasthani Sanskriti ki anubhooti le aaya………..

Chitra Pradarshani

Visit Chokhi-Dhani,Pune Homepage to know more...

Jeevan ki Muskan

Ek.......

Dopahar ka samay tha…Mai aur mera dost Alok…hamesha ki tarah Katraj ke uss PMT bus stop per baithe the jaha hum hamesha baitha karte hai…wah bus stop Main Road se kuch ekadh km ki duri par hai….Kuch ikka-dukka buses hi waha aaya karti hai….

Hum log humare wartalap me mashgul the…humare saath hi uss stop pe ek 50-55 varsh umra ki Mahila bhi baithi thi…wo shayad kisi bus ka intezaar kar rahi thi…thode-thode antaral ke baad wo humse samay puchh rahi thi…bus ka namonishaan na tha……

Kaafi samay tak baithne ke baad mai nikalne jaa raha tha…Tabhi mujhe unhone pukara…
“Beta, mujhe main road ke stop tak chhod doge jara….?”

Chunki…mai uss taraf hi jaa raha tha…maine kaha…
“Ha ha…kyon nahi…Chaliye…..”

Jaise hi hum main road pahuche…Unhone mere chehre pe se haath phera...thik ussi tarah…jaise mere Dadiji mere chehre se pherte hai…aur kaha….

“Bhagwan tumhara bhala kare! Tum bahut tarakki karoge, Beta!”

Itna bada Ashirwaad…Apanatwa…Pyaar aur Ashish se bhara hua Sparsh……….Aur kya chahiye…???

Aise wakaye kaafi hai…Jeevan ko rangin banane me……

Phir….apne chehre pe Jeet ki Muskan liye mai chal diya apni manzil ki or………


Do.......

3M Team se jab bhi koi Onsite jaa raha hota hai…to wo puri team ko party deta hai…Sanjeev aur Vineet ka onsite jaana tay hua…aur Rajwada me ek Shaandar party ka aayojan kiya gaya….

Rajwada….Baner me sthit hai…hum…Mai aur Pritesh, mere collegue…Pashan circle se hote hue Kothrud Depot laut rahe the…Meri ghadi raat ke 11:30 baja rahi thi...Bawdhan ke pass aakar bike band ho gayi…bahut koshish ki lekin shuru na hone par humne tanki check ki…to pata chala….petrol khatm ho chukka hai….Aaspass nazar daudai…ek board dikhai diya...”Petrol Pump 1 km ahead”…Bahut khushi hui…socha sirf 1 km ki to baat hai…bike dhakel lenge….hum nikal pade….139 kg weight wali bike dhakelna…baap re baap…kuch dur chalne par ek aur board dikhayi diya…”Petrol pump 0.4 km ahead”…socha……ab thodi dur ki hi baat hai…..

Hum logo ko aise bike ko dhakelte dekh…..ek White Maruti ZEN ruki……aur uss car me baithe yuvak ne humse puchha….”Kya hua?"

Pritesh ne usse isharo me hi samjhaya…”Petrol khatm ho gaya hai”

Uss yuvak ne car ki dikki se ek can nikali aur mujhse kaha…” Tanki Kholo. Kaha tak jaan hai…?”

“Thodi duri par hi Petrol pump hai…bas wahi tak...aap petrol rahne dijiye…” Maine jawaab diya…Kisi Anjaan vyakti se petrol lene me mujhe sankoch ho raha tha...Aur Petrol Pump pass me hi tha...

“Le lijiye…Petrol Pump koi itne pass me bhi nahi hai…” wo bola...

Akhir mai bhi to ek insaan hi hoon…maine tanki kholi…usne usme Petrol udela…aur wo jaane laga…

Mere mooh se bas ye chaar hi shabd nikale….”Thank you very much!”

Phir hum log bike pe sawar hokar nikal pade…Petrol Pump ki or…ussi Petrol Pump ki or jo wahase sirf 0.4 km tha…waha pahuche…aur dekha….na to waha koi aadmi tha…na Petrol Pump….ek bahut hi bada hording laga tha…jis par likha tha…”Very Soon in Your Service…”...

Phir hum log Chandni Chowk ke dono Petrol Pump gaye…dono bhi band the…yu to high-way wala Petrol Pump der raat tak khula hota hai…lekin……….

Nirasha ke saath hum apne ghar pahuche…apne dimag me wicharon ka sailab liye…apne jehan me kai sawaal liye…

Kaun tha wo yuvak…??? Humne bas 4 shabdo me usse dhanyavad diya…Agar wo na hota to…139 kg wali bhari bharkam bike hume 1-2 nahi balki pure 4 km dhakelni padti…0.6 km me hi to mera dum nikal gaya tha….

Uss carwale ka bhala ho!!!

Aise wakayo ke kaaran hi…to mann me jeet ka ek ehsaas jagta hai…ek vishwaas banta hai…hum zindagi ki ladai me jaroor jitenge…jaroor jitenge................

Alchemist

Alchemist...a wonderful novel written in Lucid and Artistic English by Paulo Coelho...its a story of Santiago... a shepherd from Andalusia...his father wanted him to become a Priest...but he wanted to travel...so with 3 ancient Spanish Gold coins in his kitty he leaves his home...in search of his destiny...

The novel elaborates how Santiago pursues his DREAM!!! It teaches so many lessons to a Day Dreamer like me...

While going through the Fable...i came across some Powerful or Practical Sentences.......

When someone sees the same people everyday, they wind up becoming a part of that person's life....And they want the person to change...If someone is not what other's want them to be, the others become angry...Everyone seems to have a clear idea of how other people should lead their lives, but none about his or her OWN!!!

Everyone believes the world's Greates lie...At a certain point in our lives...we lose control of whats happening to us and our lives become controlled by FATE!!!

Great TRUTH...Whoever you are or whatever it is that you do...when you really want something...its because that desire originated in the soul of the universe...Its your mission on EARTH!!!

When YOU want something...all the UNIVERSE conspires in helping you to achieve it...

I am like everyone else...I see the world in terms of what I would like to see happen...not what actualy does...

All things are ONE!!!

Never stop DREAMING!!!

Making a decision is only the beginning of things...When someone makes a decision...he is really diving into a strong current that will carry him to places he had never dreamed of when he first made the DECISION!!!

The closer one gets to realizing its DESTINY...the more that destiny becomes his true reason for being...

People need not fear the unknown...if they are capable of achieving what they need and want...

We are afraid of losing what we have...whether its our life or our posessions and property...But this fear evaporates when we understand that our life stories and the history of the world were written by the Same HAND!!!

To die tomorrow is no worse than dyeing on any other DAY!!!

One is loved because one is LOVED...No reason is needed for LOVING!!!

Fear of suffering is worse than the suffering itself...No heart has ever suffered when it goes in search of its dreams...because every second of the search is a second's encounter with ETERNITY!!!

The darkest hour of night comes just before the DAWN!!!

When you possess Great treasures within you and try to tell others of them...seldom are you Believed...

There is only one thing that makes a dream impossible to achieve...the Fear of FAILURE!!!


Click Paulo Coelho to know more about him...

Alumni Meet

As soon as I came to know from Ronny...that our college is organizing Alumni Meet in Pune...I registered myself on college website for the event…

All registered alumni were posted Cyber Invitations…event was scheduled on 11th Nov’06 at 3:00 pm and the venue was Symbiosis Institute of Management, Kirkee, Pune…

Finally…the DAY dawned…we reached the venue at sharp Indian Standard Time…that is one hour late…that is at FOUR….All of our professors and some other staff members had come straight from Shegaon by college bus…Director Shrikant Dada Patil and our Principal Dr. D. G. Wakde were also present to witness the event…

Welcome RoseLord Gajanana’s Idol….Vivekananda’s Call to the Nation…were gifted to each of the alumnus…

The event started with showing College Walk Through…which was followed by Deep Prajwalan by Honorable Chief Guest…after that Chief Guest shared his views on Education system…Principal sir talked about memories of past…Senior most batch that is year 1987 pass out batch was given chance to share their experiences and memories of their college life…

Every one was missing…the Iron man behind SSGMCE…Shri ShivShankar Bhau Patil…he could not come for the event…

Batch wise photo-session was carried out…ours was the junior most batch…we had to wait till last…

Here comes that Golden photograph…that is of year 2006 pass out batch



We recited the Gajanana Stuti…

Anantkoti…Bramhandnayak…Maharajadhiraaj…Yogiraj…Parabrahm…
Sachidanand…Bhaktpratipalak…ShegaonNiwasi…SamarthSadguru…
Shri Gajanan Maharaj ki JAY!!!

The delicious dinner was waiting for us…we turned towards it………..

College ka Alumni meet…boleto…saare dost log mile…saare seniors mile…yaadein taaza hui...DHAMAAL kare…wo bhi college se pass out hone ke sirf 5 mahino baad…wah…mazza aagya…

Related links...
SSGMCE Homepage
SSGMCE on Wikipedia

Saral Mobile Sandesh

Well...here are some LONG SMSs......those I couldn't delete from my Cell's Archive Folder...

Sentimental

Mai lafzon me kuch bhi IZHAAR nahi karta...
Iska matlab ye nahi ki mai uss se PYAAR nahi karta...

Chahta hoon mai usse aaj bhi...
Par uski soch mein apna waqt barbaad nahi karta...

Tamasha na ban jaye ye MOHABBAT meri...
Isliye apne dard ko dikhaya nahi karta...

Jo kuch mila hai usi mein KHUSH hoon mai...
Uske liye KHUDA se taqrar nahi karta...

Par kuch to baat hai uski fitrat mein zalim...
Warna Usse chahne DIL baar-baar nahi karta...


Perfect LOVE


Perfect LOVE is not RECEIVING...
It is GIVING and FORGIVING...

Perfect LOVE is not RED ROSEs on Valentine's DAY...
It is rest of the 364 days of knowing 'U' LOVE someone...

Perfect LOVE is not phone calls and stolen KISSES...
It is the silent smiles in memory of your SWEET HEART...


Dard

Shararat na hoti...Shikayat na hoti...
Nayano me kisi ke najakat na hoti...

Na hoti bekrari...na hote hum tanha...
Jo jahan me kambakht ye MOHABBAT na hoti...

Na hote ye sapne...ye Khwabon ki duniya...
Kisi ko chahat ki tamanna na hoti...

Na julfon ki chhaya...na phulon ki khushboo...
Yaadon me unki ye raatein na katati...

Jo na hoti ye Mohabbat ye aansoo na hote...
DIL bhi na khota...aaj tanha na rota...

Majnu se apni ye halat na hoti...
Jo jahan me kambakht ye MOHABBAT na hoti...


Learning LESSONS

Five lessons to be learned from a HUMBLE PENCIL...
1. Everything you do, will always leave a MARK!!!
2. You can always correct the mistakes that you MAKE!!!
3. What is important is, What is inside you and not what is outside YOU!!!
4. In LiFE, you will undergo painful sharpenings which will make you
better in what you DO!!!
5. Lastly, to be the BEST you can be, you must allow yourself to be
guided by the hand that holds YOU!!!


Romance

Share a thought of LOVE with me...Dream a life of TOGETHER with me...Keep the TWINKLE in your eyes that made me mad...Keep away those TEARS that made me sad...Be my partner at the shores of Loneliness...Hold my hand during the journey of LiFE...With your hands together every sorrow we will survive...Hurt me, Tease me, make me cry...But in the end give me a shoulder on which i can rely...As a Friend let me SURVIVE!!!


Dreams

The permanent temptation of LiFE is to confuse dreams with REALITY...The permanent defeat of LiFE is to surrender dreams to REALITY!!!


Success

The road to success is not straight...There is a curve called Failure...A loop called Confusion...Speed bumps called Bad Friends...Red lights called Enemies...Caution lights called Family...You will have flats called Jobs...But, if you have a spare wheel called Determination...An engine called Perseverance...Insurance called Faith...A driver called GOD...you will make it to a place called SUCCESS!!!

Some cool links for Hindi SMS and Shayaris...
ONE
TWO

Yo! I got HER!

Yes!!!…wo mujhe mil gayi…bahut intezaar kiya maine usse pane ke liye…

Wo jab bhi mere ghar ke samne wali sadak se guzarati…mai usse nihara karta tha…aur wo sharma jaati…

Uske swabhav ke baare me maine kafi kuch sun rakha tha…aur har din mai ussi ke khayalon me khoya rahta tha…

Aakhir…ek din mai usse mila…mai to uske har andaaz jaise…LooksFigureChaalNain-naksh...in sab pe to pahle se fida tha hi…lekin usse milne ke baad to mai uska Kayal hi ban gaya…

Wo kya kahte hai…haa…PROPOSE!!!...ussidin maine usse propose kar diya…aur khass baat to ye hai…ek pal ka bhi wilamb na karte hue usne bhi mujhe apna liya…

Uske baad se to hum dono…hatho me hath liye…POONA ki har gali…har sadak se…Shaan se ghumte hai…

To ye rahi …meri Lakht-e-Jigar…mere Sapno ki Shehzadi…meri SALONI…meri SHARMILI...meri Mehbooba…meri Sangini…meri Saheli…meri BIKEHonda UNICORN 150cc autostart…jise me…BUBBLY...ke naam se pukarta hoon….



Hahaha…Ho gayi GOOGLY...? Kya soch rahe the…? Soch hi bakwaas hai tum logo ki…? Kuch nahi ho sakta uska…

Khair…kaisi lagi meri..."BUBBLY"? Pasand aai na…?

Mere mummy-papa…meri bike ko leke mujhse jyada excited the…kyonki…jab mai RLT, Akola me 11th me tha…tab maine Scooty maangi thi…tab mujhe Luna TFR-Dx mili thi…tab mai sirf 15 saal ka tha na…isliye…Aur baad me Engineering me bhi mujhe bike ka kaam nahi tha…to tab bhi bike nahi li thi...Lekin wo to duuuuuur Malegaon me baithe hai…to mai ye khushi unke saath NJOY nahi kar paaya…Khair...

Meri BUBBLY ka photo-session dekhna chahoge...?
Zalkiyaan...

Official Website of Honda Unicorn....

Two BOXES

That was a UNUSUAL day…unusual in the sense, my watch was showing Half past NiNE at night…and I was still in the office…CTS, #8A ICC, Senapati Bapat Road, Pune…

That was the first occasion for me to be in office that much late…there was a genuine reason for that…because it was CUT-OFF date for my dummy project in PeopleSoft…

Finally, having finished up with all of my work…I came out of my CUBICLE cursing the life of a software engineer…Remember, that was my first dummy project!…Subsequently, I came out of my Office…and pressed DOWN BUTTON of the LIFT…

Making me wait for sometime the lift arrived …and slid its doors out to take me inside…LIFT…a 3x4 feet BOX...

As soon as entered inside…

“Which floor?” That was the lift-person asking me where would I like to go.

“Ground floor, please.” I said and…took a look at him.

He was not that USUAL lift-boy…he was a lift-man…

“When do you come?”, I asked.

“At Eight”, he answered. The expressions on his face were indicating that some thinking process is going inside his brain. He might be wondering that why I am asking him all this.

“And when do you go?”…my second question.

“At 8 in the morning.” This time he seemed quiet.

“12 hours shift!!!”

“Yes” , he smiled.

Meanwhile, ground floor had come…and again lift slid its doors out…this time to allow me to go out…

I smiled at him and came out…I did not have anything to say…because my mind was busy in performing UNUSUAL task on that UNUSUAL day…It had started comparison between the TWO BOXES

First one was LIFT…and second one was 5x5 feet BOX…called as CUBICLE by software engineers…

One has its own roof…other does not have…One has door…second does not have…One is CLOSED…other is OPEN…One has its own Speed and Momentum…while other does not have…People working in first one are known as liftmen…and those in second one are known as Software Engineers…But both of them only press buttons/keys through out their working hours…Liftmen work for TWELVE hours…Engineers for NiNE…Liftmen have stools to sit…Engineers have Comfortable Executive Chairs…

Finally…I arrived at a conclusion that Engineers live a better life than Liftmen…that made me happy for a moment…but at the next moment a thought came…what about the life of LIFTMEN…???

I did not have any answer and still do not have any…I stepped into the PMT going towards Katraj…and said “One Chaitanyanagar please” to conductor.