Tuesday, February 19, 2008

Pune se Prasthan

15th June'07

Ghadi...aaj kuch jyada hi raftar se daud rahi thi...aur uthi hi tez raftar se mujhe ek se ek important kaam yaad aa rahe the jo mujhe office se nikalne se pahle pure karne the...jaise...time-sheet submission...Self Appraisal...Weekly/Daily Excel sheet...issue ke final analysis ka mail...aur sabse important Leave Application.....

Haan...din tha Friday ka...aur mujhe office se 3 baje hi nikalna tha...05:20 ki PUNE-NGP Superfast jo pakadni thi...

Jaise taise saare kaam pure kiye...Rajib (Mere TL) se baat ki ...aur thik 3 baje office ko Bye kiya....

Office ke khatm aur baahar ke shuru huye...

Mithai leni thi...HDFC se ICICI balance transfer karana tha...socha flat pe jaane se pahle sab karlu...lekin naakam...mithai ke liye Chitale Bandhu ki saari dukane band thi...aur balance transfer ke liye mere pass check na tha...phir kya...??? Flat pe pahucha...apne Mandir ko Chuna lagaya :P...packing to pahle se hi hui thi...Reetesh ko jagaya...wo mujhe station chhodne aane wala tha...

Phir Reetesh ki khatra (khataara) Activa pe hum 3 (mai...Reetesh aur mera bag) sawar huye...aur chal diye station ki or...raste me ICICI ke ATM me check drop kiya...Garware Square wale Chitale Bandhu se mithai aur khakre kharide...

Station par pahuchne par waha ke famous Shiv-Kailash dudh ka aanand liya...(Reetesh mujhe free me to station pe chhodne wala hi nahi tha na...)...Train platform pe khadi humari raah dekh rahi thi...Pune se chalkar Nagpur ki or jaanewali train 2135 ne apne nirdharit samay se 5 min deri se prasthan kiya...

Train ki gati ke saath barish ki fuhare bhi jamin pe padne lagi...

No comments: