Tuesday, February 19, 2008

Jaipur ki Rahon par...

19.06.2007

Subah jaldi uthakar...phataphat sab log ready huye...Khatu Shyamji ki Shringar aarti ke darshan jo karne the...Aarti ke darshan kiye...kitna sunahara mauka tha...iss baar
Khatu Shyamji ki Shayan evum Shringar in dono aartiyon ke darshan huye the...

Mandir ke bahar aa kar...Tea-Coffee li...aur chal diye Jaipur ki or...car me pura luggage pahle hi saja liya tha...

Waise to Jaipur kai baar ghuma hua tha...lekin phir bhi in 5-6 salon me jo kuch naya bana hoga wo dekhna tha...aur thodisi shopping bhi karni thi...

Jaipur pahuchte hi...sabse pahle Akshardham (Swami Narayan Mandir) dekha...ye Vishal evum Khoobsurat mandir, Jaipur ke Vaishali area me Swami Narayan Trust ne hi banwaya hai...



Iske pashchat hum logone...Birla Mandir...Motidungri ke Ganeshji...HawaMahal (baharse)...Galtaji...Govindji ka Mandir dekha...

Govindji ke Mandir ke pass bane ek restaurant me lunch liya...iske baad...Baapu Market...Johari Market...Badi Sadak Market dekhe...Mummy ne Bapu Market se 2 saareeyan li...aur Nikhil ke liye 2 dress...No dress for me!!! :-(

In marketon me bani saari dukane Pink color ki hi hai...isiliye Jaipur ko Pink City bhi kaha jata hai...

Ab bhi humari train ko bahut waqt tha...to humne bacha samay Kanak Vrindavan Gardan me bitane ka socha...waha jakar dekha...to aise laga...ye koi gardan nahi balki lawn se bhi battar jagah hai...upar se Suraj to qahar dhha hi raha tha...

Train ke samay ke thik 1:30 ghante pahle hum log nikle...raste me Signal pe bana Peacock garden dekha...jo Kanak Vrindavan se bhi HaraBhara pratit hua...

Jaipur me dekhne layak anya sthaan...Amar fort...Jantar Mantar...Craft Museum...Nehru Rose Garden...Albert Museum.....

No comments: