Tuesday, February 19, 2008

DevBhumi Uttaranchal

21.06.07

Subah jaldi ready hoker ke breakfast kiya...fatafat Indica me sawar huye...Indica pahlese hi book ki huyi thi...ab sidhe Haridwar pahuchna tha...

Delhi ke traffic ko paar kiya...lekin Faridabad tak gadi 30km/hr ki raftar se jyada chal nahi saki...road pe traffic bahut tha...

Jaise hi Uttaranchal ki shuruwat huyi...mausam kuch thanda lagne laga...pure khet me lahlahati fasal manmohak lag rahi thi...hawa ek ajeebsi khushboo liye thi...

Haridwar kuch 10 km ki duri par tha...meri najar ek building pe padi...naam tha Patanjali Yoga Sansthan...Mummy-Papa bole nahi rukte...mai bola...Chalo dekh lenge...aakhir RamdeoBaba ka naam bahut famous hai...



Patanjali Institute...bahut hi badi jagah me faila hua tha...puri jagah me lawn, fountains, statues building ki shobha badha rahe the...Patanjali ki Vishal murti darshako ka man moh leti thi...

Institute me marijon ko free me check kiya jata hai...dawai ke paise lagte hai...

Yaha se nikalkar ab Haridwar pahuchna tha...

Har ki Paudi pahuche...Ganga maiyya ke darshan kiye...Ganga Mandir me puja ki...

Haridwar me...Mansa Mata aur Chandika Mata ke mandir pahadi pe bane hai...yaha jane ke liye Udan Khatolon ki madad li ja sakti hai..



Humne...Rs. 152 me combo pass li...jisme dono mandir Udan Khatolo me baith ke ja sakte hai...aur to aur 2 mandir ke bich transportation bhi ho jata hai...Udan Khatole ki service Usha Breko Ltd. dwara di jati hai...humne 2no mandir ke darshan kiye...

Haridwar me...aur bhi kai mandir the...jaise Pawan Mandir...Bharat Mata mandir...ShantiKunj...lekin Gangaji ki aarti ka samay ho chuka tha...to hum log sidhe Har ki Paudi pahuche...



Sachmuch...itna Vishal Jansamuh...eksaath...haath me Deep liye...Gangaji ki aarti kar raha...ye drishya bahut hi lubhawna lagta hai...humne bhi aarti ki...apne apne deepak ko Gangaji me bahav diya...

Haridwar se Rishikesh kuch 10-15 km ki duri par hi hai...waha jake rukna tha...Hari ke Dwar se nikale...Rishikesh pahuche...ek school me room liya...school ka naam tha...Aadarsh Sanskrit Vidyalay...undino...chhuttiyan chal rahi thi...isliye schoolo me room diye jate the...

Bahar ke restaurant me dinner kiya...aur so gaye........

No comments: