Tuesday, February 19, 2008

Jeevan ki Muskan

Ek.......

Dopahar ka samay tha…Mai aur mera dost Alok…hamesha ki tarah Katraj ke uss PMT bus stop per baithe the jaha hum hamesha baitha karte hai…wah bus stop Main Road se kuch ekadh km ki duri par hai….Kuch ikka-dukka buses hi waha aaya karti hai….

Hum log humare wartalap me mashgul the…humare saath hi uss stop pe ek 50-55 varsh umra ki Mahila bhi baithi thi…wo shayad kisi bus ka intezaar kar rahi thi…thode-thode antaral ke baad wo humse samay puchh rahi thi…bus ka namonishaan na tha……

Kaafi samay tak baithne ke baad mai nikalne jaa raha tha…Tabhi mujhe unhone pukara…
“Beta, mujhe main road ke stop tak chhod doge jara….?”

Chunki…mai uss taraf hi jaa raha tha…maine kaha…
“Ha ha…kyon nahi…Chaliye…..”

Jaise hi hum main road pahuche…Unhone mere chehre pe se haath phera...thik ussi tarah…jaise mere Dadiji mere chehre se pherte hai…aur kaha….

“Bhagwan tumhara bhala kare! Tum bahut tarakki karoge, Beta!”

Itna bada Ashirwaad…Apanatwa…Pyaar aur Ashish se bhara hua Sparsh……….Aur kya chahiye…???

Aise wakaye kaafi hai…Jeevan ko rangin banane me……

Phir….apne chehre pe Jeet ki Muskan liye mai chal diya apni manzil ki or………


Do.......

3M Team se jab bhi koi Onsite jaa raha hota hai…to wo puri team ko party deta hai…Sanjeev aur Vineet ka onsite jaana tay hua…aur Rajwada me ek Shaandar party ka aayojan kiya gaya….

Rajwada….Baner me sthit hai…hum…Mai aur Pritesh, mere collegue…Pashan circle se hote hue Kothrud Depot laut rahe the…Meri ghadi raat ke 11:30 baja rahi thi...Bawdhan ke pass aakar bike band ho gayi…bahut koshish ki lekin shuru na hone par humne tanki check ki…to pata chala….petrol khatm ho chukka hai….Aaspass nazar daudai…ek board dikhai diya...”Petrol Pump 1 km ahead”…Bahut khushi hui…socha sirf 1 km ki to baat hai…bike dhakel lenge….hum nikal pade….139 kg weight wali bike dhakelna…baap re baap…kuch dur chalne par ek aur board dikhayi diya…”Petrol pump 0.4 km ahead”…socha……ab thodi dur ki hi baat hai…..

Hum logo ko aise bike ko dhakelte dekh…..ek White Maruti ZEN ruki……aur uss car me baithe yuvak ne humse puchha….”Kya hua?"

Pritesh ne usse isharo me hi samjhaya…”Petrol khatm ho gaya hai”

Uss yuvak ne car ki dikki se ek can nikali aur mujhse kaha…” Tanki Kholo. Kaha tak jaan hai…?”

“Thodi duri par hi Petrol pump hai…bas wahi tak...aap petrol rahne dijiye…” Maine jawaab diya…Kisi Anjaan vyakti se petrol lene me mujhe sankoch ho raha tha...Aur Petrol Pump pass me hi tha...

“Le lijiye…Petrol Pump koi itne pass me bhi nahi hai…” wo bola...

Akhir mai bhi to ek insaan hi hoon…maine tanki kholi…usne usme Petrol udela…aur wo jaane laga…

Mere mooh se bas ye chaar hi shabd nikale….”Thank you very much!”

Phir hum log bike pe sawar hokar nikal pade…Petrol Pump ki or…ussi Petrol Pump ki or jo wahase sirf 0.4 km tha…waha pahuche…aur dekha….na to waha koi aadmi tha…na Petrol Pump….ek bahut hi bada hording laga tha…jis par likha tha…”Very Soon in Your Service…”...

Phir hum log Chandni Chowk ke dono Petrol Pump gaye…dono bhi band the…yu to high-way wala Petrol Pump der raat tak khula hota hai…lekin……….

Nirasha ke saath hum apne ghar pahuche…apne dimag me wicharon ka sailab liye…apne jehan me kai sawaal liye…

Kaun tha wo yuvak…??? Humne bas 4 shabdo me usse dhanyavad diya…Agar wo na hota to…139 kg wali bhari bharkam bike hume 1-2 nahi balki pure 4 km dhakelni padti…0.6 km me hi to mera dum nikal gaya tha….

Uss carwale ka bhala ho!!!

Aise wakayo ke kaaran hi…to mann me jeet ka ek ehsaas jagta hai…ek vishwaas banta hai…hum zindagi ki ladai me jaroor jitenge…jaroor jitenge................

1 comment:

amolG said...

Pragya said...

Mast hai boss …gr88...

4:46 AM
Anonymous Garima said...

Do keep writing, u have special power of writing and so u should utilize it...

4:57 AM
Blogger Dilip said...

Hey amol its really good.....I like ur way of thinking towards life...just keep it up an never change ur way

11:33 AM