Tuesday, February 19, 2008

Hujur...Wah! TAJ!!! Boliye

25.06.07

Subah ready huye...luggage pack kiya...Phogla aashram me nirantar path karne wali Matao ke darshan kiye...aur aashram se vida li...

Taxi me baithke...Mathura aaye...hume Agra jana tha...pahle humne bus se Agra jane ka socha tha...lekin taxi me baithe ek Kakaji ki salah humne mani...unke mutabik kuch hi der me Tufan mail hai...wo bhi ussi se Agra ja rahe...

Humara unluck usdin joro par tha...train bahut late thi...train ka intezaar kiya...ticket to hum pahle le hi chuke the...train aayi...hum logo ke pass luggage aur train ki bhid ke kaaran hum General boggie me nahi chadh paye...ek sleeper me hum sabhi sawar huye...

Maine kaha na unluck joro pe tha...1 ghante ke safar me bhi...hum logo ko squad ne pakad liya...fine bharna pada...rakam to mujhe yaad nahi...

Prepaid taxi leke hum log Agra bhraman karne nikal gaye...

Sabse pahle hum pahuche...Lal Kila...



Tez dhup me ghum rahe the...jaan pani pani ho rahi thi...

Lal Kila me ek khidki hai...wahase Taj ka manoram najara dikhai deta hai...Shahjahan issi khidki se Taj ko banta dekhte the...

Lal Kila...puri tarah lal pathhro se bana hai...bahut hi vishal hai...

Kile ke bahar bane restaurant me humne lunch kiya...phir Taj ki or nikal pade...

Taj...uske pravesh dwar se bahut dur...rikshe se jana padta hai...andar auto le jane ko manai hai...auto ke dhuwe se Taj ke paththaro pe daag padne ka khatra jo hai...

Garm sangmarmar pe nange pair chalna pada...jaan hi nikal gayi...


Taj...sundarta evum pyaar ka pratik...

Photography ki...Taj ke kalash pe hath bhi rakha... ;) I mean...Taj ke kalash ke upar hath rakh ke trick photography ki...

Taj ke pass ki hariyali par...ped ki chhav me kuch der baithe...uske baad hume railway station pahuchna tha...train Goa Express hume lene thik 6 baje jo aane wali thi...

Samay ki kami ke karan hum log 1-2 points nahi dekh paye...

Sabke liye...bahut sara Agra ka petha kharida...Station ke ComSum me maine aur Nikhil ne dosa liya...sabne thandi lassi li...train aayi...humlog sawar huye...

Hum log...humara safar khatm karke...apne Ghar ki aur wapsi kar rahe the......

No comments: