Tuesday, February 19, 2008

The WET Excursion continued...

Humara karwan nikal pada SINHAGAD ke manohari vatavaran ka luft uthane...aur hum to tech-savvy hai hi...to saath me DigiCam namak upkaran bhi saath le hi gaye the...

Ubali hui moong phalli...jisme Priya ke anusaar namak kam tha...Neebu Paani...jo maine nahi piya tha...Namak aur Mirch lagakar LAAL ki hui MITHI kairi...AMRUD...aur Malai KULFI in sab ka anand lete hue humari toli aage badhte gayi...

Average 2 Photos per minute ki gati se humara DigiCam in yaadgar palon ko kaid kar raha tha...

Wakai...SINHAGAD...outing ke liye lajwaab jagah hai...waha ka vaatavaran...Thakan ko bhula deta hai...aur hume Chusti Phurti se bhar deta hai...Aisa lagta hai...mano Badal humare bich se hokar guzar rahe ho...Hare Rang ke natural galicho pe chalne ka mazzzza to kuch aur hi hai...

Amriteshwar mandir...Kalyan Darwaja...WIND POINT jahaki sheet lahroko chhodkar nikalane ka mann hi nahi ho raha tha...in jagah par haajri lagate hue...hum pahunche ek Jhopadi numa Hotel...




Jara giniye to sahi...kitne vyanjan hai humari plates me...chalo mai hi bata deta hoon...Bhakri yaneki roti...Pithla matlab besan jise Jhunka bhi kaha jaa sakta hai...Dahi jo mitti ke Kulhad me diya gaya hai...Laal rang ki tikhi chatni jise Kharda kaha jaata hai...Hari mirch ka Thecha...Taak matlab Chaach...aur ALOO PYAAZ ke pakode...ye hai SINHAGAD ka trade mark menu...

AUR ha...iske taste ke baare me mai kya kahu...? Aap iska andazaa humari photo dekh kar laga sakte hai...

Itna tasty khana ho...to PAAN to hona hi chahiye...Right???...Sinhagad apne paryatakoka khayal puri tarah rakhta hai...Banarasi lo...ya Calcutta mitha patta...koi bhi milega...humne Banarasi liya...Khaike paan banaras wala...

Phir hum log chal diye apne agle padav PAANSHET ki or...jo humare intezaar me palke bichaye baitha tha...

PAANSHET...Sinhagad se 20-25 ki duri par banaya gaya ek DAM hai...jaha par aap boating ka mazza le sakte hai...saath hi paanshet ko nisarg ki hariyali ka vardaan bhi prapt hai...

Click Panshet to know more...

to be continued...STAY TUNED!!!

No comments: