Tuesday, February 19, 2008

Ab Delhi dooor nahi...

Delhi pahuchte hi...Paharganj ki Ajanta Hotel me room li...fresh huye...Paharganj me hotels ki kami nahi hai...pure area me hotel hi hotel hai...

Pass hi ke ek restaurant me jake dinner kiya...phir so gaye....

20.06.07

Subah jaldi jaag kar ready huye...waise to Delhi pahle bhi ghuma hua tha...lekin naye points dekhne the...Papa aur maine jaker, Delhi site-seeing ke liye Indica book ki...

Break fast kiya...aur Indica me sawaar hoke...nikal pade Delhi dekhne...

Delhi bahut garm thi...subah 10 baje bhi garmi ke mare bura haal ho raha tha...

Ee hai Delhi nagariya Tu dekh babua...

Sabse pahle pahuche...ISKCON temple...mujhe ISKCON temple bahut hi pasand aate hai...khass kar wahaki murtiyan...bahut sajeev lagti hai...

Yaha ke animation show ke baare me Reetesh se kaafi kuch suna tha...wahapar Geetasaar par aadharit Vaidic Pradarshani bahut hi sachchi evum manohari pratit huyi...ticket tha Rs. 40...

Iske pashchaat...hum log pahuche Metro train ke Appughar stop pe...AppuGhar humne last Delhi visit me dekha hi tha...driver ne hume samajha diya tha...ke humko Zandewalan stop tak jana hai...waha utarkar Vishal Bajarang Murti ke pass rukna hai...

Metro train bahut hi pyaari lagi...fully automated train...har station pe apne aap doors khulte aur band hote the...station aane se pahle suchna di jaati thi...ke agla station kaunsa hai evum station left/right side me hai...

Zandewalan station ke pass...ek Bajarangbali ki Vishal murti hai...uske darshan kiye...usi murti ke andar aur mandir bane hai...

Uske pashchaat...karol bagh pahuche...waha ke ek restaurant me lunch kiya...Karol bagh bahut hi bada market hai...waha se sab bachchon ke liye school/tution bags kharide...yaha har badi/chhoti dukan me bargain hota hai...

Ek majedar wakya sunata hoon...Mummy ek imitation jewelry shop gayi...waha chudiyan dekhi...Mummy ko wo pasand to aayi...lekin Mummy ne socha ke achchi niklegi ya nahi...to nahi leti...chudiyon ka rate Rs 600 tha...to Mummy ne Rs. 400 me hi maanga...yah sochkar ke wo nahi dega...lekin wo shopkeeper Rs.400 me dene me ready ho gaya... :-) ...phir kya tha...Mummy ne Rs. 400 ka risk le hi liya...

Ab hume jana tha...Akshardham temple...yaha par photography allowed nahi hai...isliye i don't have any photographs...

Akshardham temple...bahut hi Vishal hai...Swami Narayanji ke jeevan par aadharit vividh karyakram bhi yaha pesh kiye jaate hai...yaha ka pramukh aakarshan Musical Fountains hai...mandir me entry to free hai ...lekin waha ke karyakram dekhne ki alag alag tickets hai...

Akshardham se lautkar...hum phir pahuche Paharganj...Hotel Ajanta se hum subah hi check out kar chuke the...iss baar Hotel Maharani me room liya...raat bhi ruk ke subah Haridwar-Rishikesh ki or jana tha...

No comments: